Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics

Kabe ki ronak Kabe ka manzar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekhu to dekhe jau barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Hainrat se khud ko kabhi dekhta hu

Aur dekhta hu kabhi mai haram ko

Laya kahan mujhko mera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Hamd e Khuda se tar hain zabane

Kano me rass ghoolti hain azane

Bus ek sada a rahi hain barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Mangi hain maine jitni duae

Manzoor hongi maqbool hongi

Mizab e Rehmat hain mere sar par

Allahu Akbar Allahu Akbar

Tere karam ki kya bat Maula

Tere haram ki kya bat Maula

Ta umr karde ana muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Yad agayi jab apni khataye

Ashko me dhalne lagi iltijae

Roya Gilaf e Kaba pakad kar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha

Rab ke karam ka jalwa bhi dekha

Dekha rawa ek saron ka samandar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Kabe ke upar se jate nahi hain

Kisko sabak yeh sikhate nahi hain

Kitne moadab hain yeh kabutar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Bheja hain jannat se tujhko Khuda ne

Chuma hain tujh ko khud mere Mustafa ne

Aye Hajr e Aswad tera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Jis par nabi ke kadam ko sajaya

Apni nishani keh ke bataya

Mehfooz rakha Rab ne yeh patthar

Allahu Akbar Allahu Akbar


Related Content

  1. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  2. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  3. Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
  4. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge  Naat Lyrics
  5. Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai  Naat Lyrics
  6. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  7. Nabi Ka Jashn Aaya  Naat Lyrics
  8. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics
  9. Aadha Idhar Aadha Udhar
  10. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  11. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  12. Qaseeda E Mearaj  Naat Lyrics
  13. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  14. CHAL QALAM AB HAMD E RABB
  15. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib   Naat Lyrics
  16. Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar  Naat Lyrics
  17. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  18. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  19. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  20. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics

Leave a comment