Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam
Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya
Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila
Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen
Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera
Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua
Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o ‘Ala ki qasam Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija
Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri ‘Ata ki qasam Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan
Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam
He Kalaame Ilahi Me Shamsudduha Naat Lyrics
Related Content
- Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
- Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
- Allah Ke Huzoor Me Sar Ko Jhukaa Ke Dekh
- sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
- Noor Se Apne Sarwar E Aalam Naat Lyrics
- Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
- Aaj Muhammad aye moray ghar
- Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai Naat Lyrics
- Ravi De Kande Mere Data Dera Laya Naat Lyrics
- Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
- Ni Mitiyye Madeene Diye
- Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna Naat Lyrics
- Aseeron Ke Mushkil Kusha Ghous e Azam
- Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara Naat Lyrics
- Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho (Hamd) Naat Lyrics
- Ya Rab Hai Bakhsh Dena
- ALLAH Ho Rabo Muhammadin
- Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
- Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi Naat Lyrics
- Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa