Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics

Har waqt Tasaw’wur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi hoDo soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas’sar woh ghadi ho

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

AQA ka gada hoon ai jahan’nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

Attar hamara hai saray hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chit’thi mili ho


Related Content

  1. Ae Shahenshah e Madina Assalat o Wassalam
  2. Apne Damane Shafa’at Mein Chhupaye Rakhna Naat Lyrics
  3. Jashn Aamade Rasool
  4. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  5. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  6. Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye  Naat Lyrics
  7. La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
  8. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  9. Main Madine Chala  Naat Lyrics
  10. Baravein Ka Chand Aya, Baravein Ka Chand Aya (Naat Lyrics)
  11. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem
  12. Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki  Naat Lyrics
  13. Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo (Naat Lyrics)
  14. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  15. AAJ DULHA BANA SHAHE AHMAD RAZA
  16. KHWAJA E HIND WO DARBAAR HAI AALA TERA NAAT LYRICS
  17. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  18. Koyi Kya Jane Jo Tum Ho Khuda Hi Jaane Kya Tum Ho  Naat Lyrics
  19. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  20. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)

Leave a comment