Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem

Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem
Aaj Ki Raat Hai Meelad Kamli Waley Ki
Bhool Jaoon Aye Khuda Duniya Ki Main Aab O Hawa
Kuch Na Ho Yaad Siva Yaad Kamli Waley Ki

Sab Ko Maloom Hai Barsata Hai Tu Abr E Karam
Ke Karam Ki Tere Mohtaj Sari Duniya Hei
Usi Duniya Me Huwey Paida Tere Aaj Nabi
Sadqey Aamad Ke Ho Barsat Kamli Wale Ki

Ye Mere Dil Me Jo Thodi Si Hubb E Duniya Hai
Dur Kar De Isey Ye Aarzoo E Dil Hai Meri
Ishq E Ahmad Meri Basti E Dil Me Bas Jaye
Dil Me Basti Rahe Aabad Kamli Waley Ki

Har Shab O Roz Ye Khairaat Chahta Hoon Me Haq
Ke Dar E Mustafa Pe Haazri Ho Meri Kabhi
Ho Safar Bheekh Me Ataa Mujhe Madiney Ka
Wo Jahan Bant-Ti Hai Khairat Kamli Waley Ki

Wo Hi Mehshar Me Khade Ho Ke Ru Ba Ru E Khuda
Bakhshwaengey Ummati Ke Sabhi Jurm O Gunah
Un Ko Maloom Hai Sunta Hai Kareem Un Ki Araj
Rab Nahi Taalta Hai Baat Kamli Waley Ki

Ek Yahi Khwahish E ‘ Mehboob ‘ Hai Aye Rabb E Kareem
Bas Inaayat Ho Mujhe Deed Tere Dilbar Ki
Ta-Hashar Ban Ke Firun Aashiq E Mehboob E Khuda
Or Manata Rahun Meelad Kamli Waley Ki


Related Content

  1. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
  2. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  3. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  4. BARI UMEED HAI SARKAR QADMON
  5. Dare Khwaja Pe Sawali Ko Khada Rehne Do (Naat Lyrics)
  6. Tere Qadmo Me Aana, Mera Kaam Tha (Naat Lyrics)
  7. Raate Bhi Madine Kee Baate Bhi Madine Kee  Naat Lyrics
  8. Zamin O Zaman Tumhare Liye (Naat Lyrics)
  9. Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye  Naat Lyrics
  10. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  11. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  12. Meri Jholi Main Rehte Hain Sada Tukre Muhammad Ke  Naat Lyrics
  13. Aey Saba Mustafa Se Keh Dena
  14. Khuda Ka Zikr Kare  Naat Lyrics
  15. Tu Shamm-e- Risalat Hai
  16. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  17. YA TAIBA YA TAIBA
  18. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  19. Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  20. Hota agar zameen par saya Rasool ka

Leave a comment