Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya,
Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.

Teri Marzi Pa Gaya Suraj Bhi Fira Ulate Kadam,
Teri Ungali Uth Gai Mah Ka Kaleja Chir Gaya.

Badh Chali Teri Ziya Andher Aalam Se Ghata,
Khul Gaya Gesoo Tera Rahmat Ka Badal Ghir Gaya.

Bandh Gai Teri Hawa Saawah Me Khak Udane Lagi,
Badh Chali Teri Jiya Aatash Pe Pani Phir Gaya.

Teri Rahmat Se Safiyullah Ka Beda Par Tha,
Tere Sadake Se Najiyullah K Bajra Tar Gaya.

Teri Aamad Thi Ki Baitullah Mujre Ko Jhuka,
Teri Haibat Thi Ki Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.

Momin Unka Kya Hua Allah (Jalla Shanahu) Uska Ho Gaya,
Kafir Un Se Kya Phira Allah Hi Se Phir Gaya

Wo Ki Us Dar Ka Huaa Khalqe Khuda Us Ki Hui,
Wo Ki Us Dar Se Phir Allah (Jalla Shanahu) Us Se Phir Gaya.

Mujko Deewana Batate Ho Main Wo Hushyaar Hu,
Paanw Jab Tawfe Haram Me Thak Gae Sar Phir Gaya.

Ramatul Lil Aalmeen Aafat Me Hun Kaisi Karun,
Mere Muala Main To Is Dil Me Bala Se Ghir Gaya.

Main Tere Hatho Ke Sadake Kaisi Kankariya Thi Wo,
Jin Se Itne Kafiro Ka Dafa’tan Munh Phir Gaya.

Kyun Janabe Bu Huraira Tha wo Kaisa Jaame Sheer,
Jis Se Sattar Saahibo Ka Dudh Se Munh Phir Gaya

Waasta Pyare Ka Aisa Ho Ki Jo Sunni Mare,
Yu Na Farmaye Tere Shaahid Ki Wo Faajir Gaya.

Ars Par Dhoome Mache Wo Momine Swaaleh Mila,
Fars Se Maatam Uthe Wo Tayyib-O-Taahir Gaya.

Allah Allah Ye Uluwe Khaas Abdiyyat Raza,
Banda Milne Ko Karib Hajrate Kadirgaya.

Thokare Khaate Firoge Unke Dar Par Pad Raho,
Kafila To Aye Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya.

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya
Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.


Related Content

  1. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  2. Sirf Ek Baar  Naat Lyrics
  3. Patta Patta Boota Boota Zikr E Khuda Mein Khoya  Naat Lyrics
  4. Khairul Bashar Par Lakho Salam  Naat Lyrics
  5. Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
  6. Ser-E-Gulshan Kon Dekhe Dasht-E-Taiba Chor Kar  Naat Lyrics
  7. Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
  8. TAN SADQE MERA MANN SADQE
  9. Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai  Naat Lyrics
  10. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri  Naat Lyrics
  11. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  12. Jab Gumbad-e-khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi   Naat Lyrics
  13. Piraane Pir, Meri Bigri Banaao  Naat Lyrics
  14. Mein Sajdah Karun Ya Ke Dil Ko Sambhalun  Naat Lyrics
  15. parho woh matlaye noori sanaye mahre Anwar ka Lyrics
  16. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  17. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics
  18. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  19. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  20. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics

Leave a comment