Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics

Ae Sabz Gumbad Wale

Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Ae Noor E Khuda Aakar Ankhoon Mein Sama Jana

Ya Dar Pe Bula Lena Ya Khawab Main Aa Jana

Ae Parda Nasheen Dil Ke Parde Mein Raha Kerna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Aata Karna

Aie Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Main Qabr Andheri Mein Ghabraoon Ga Jab Tanha

Imdaad Meri Karnay Aajana Meray Aaqa

Roshan Meri Turbath Ko Aie Noor E Khuda Kerna

Jab Waqt E Nazah Aaye Deedar Ataa Karna

Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Mujrim Hoon Jahaan Bhar Ka Mehshar Mein Bharam Rakhna

Rusva E Zamana Houn Daman Mein Chupa Lena

Maqbool Yeh Aarz Meri Lillah Zara Kerna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Aie Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Chehre Se Ziya Payee In Chand Sitaaron Nay

Us Dar Say Shifa Paaye Dukh Dard Kay Maaron Ne

Aataa Hai Unhein Sabir Har Dukh Ki Dawa Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Mehboob Ilaahi Sa Koyi Na Haseen Dekha

Ye Shaan Hi Inki Ke Saaya Bhi Nahin Dekha

Allah Nay Saaye Ko Chaha Na Judah Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna

Ae Sabz Gumbad Wale Manzoor Dua Karna

Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna


Related Content

  1. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  2. Al Nabi Sallu Alai
  3. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  4. Koyi Kya Jane Jo Tum Ho Khuda Hi Jaane Kya Tum Ho  Naat Lyrics
  5. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  6. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  7. Milad Ka Mausam Aaya Hai  Naat Lyrics
  8. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics
  9. Pesh E Haq Muzhda Shafa-at Ka Sunate Jaenge Lyrics
  10. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  11. Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main   Naat Lyrics
  12. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  13. Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics
  14. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  15. Aaj Dulha Bana Shahe Ahmad Raza
  16. Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  17. Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
  18. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
  19. Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi Hai
  20. Taiba Bula Lijiye Na

Leave a comment