Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics

Kuch Aesa Karde Mere Kirdgaar Aankho Mein Naat Lyrics

Hameinsha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho mein

Wo Noor De Meinre Parwardigar Aankhon Mein

Ki Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Mein

Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko

Hain be shumaar meinri Ashkbaar Aankho mein

Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe

Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho mein

Nazar mein Kaise samayenge phool Jannat ke

Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho mein

Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye

Jo Naqshe Pa ka lagaa’o Ghubar Aankho mein

Khule hain deeda-e-Ushaq Khwaabe marg mein bhi

Ke Us Nigaar ka he intizar Aankho mein

Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz

Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho mein

Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu

Unhi Ka Jalwa rahe Aash kar Aankho mein

Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho mein Na Aajaye

Ke Phir Rahaa hai kisi ka Mazaar Aankho mein

Karam ye mujh pe kiya he meinre tassawur ne

Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho mein

Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho

Lo Dekh lo ye hai tasweere -Yaar Aankho mein

Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he

Mein jis ka banda hoo he Noor Bar Aankho mein

Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI

Hameinsha Us ka rahega Khumaar Aankho mein

yeh kya sawal hai mujh se ke kis ka bandah hai ?
kuch aisa kardey marey کردگار aankhon mein
hamesha naqsh rahay roye yaar aankhon mein

nah kaisay yeh Gul o ghunche hon khawar aankhon mein
basey hue hain madeeney ke khaar aankhon mein

basa sun-hwa hai koi Gul عذار aankhon mein
khula hai chaar taraf Lala zaar aankhon mein

sun-hwa hai jalva numa Gul عذار aankhon mein
khizaa ke daur mein phooli bahhar aankhon mein

suroor o noor ho dil mein bahhar aankhon mein
jo khawab mein kabhi aaye nigaar aankhon mein

woh noor day marey parvar-digaar aankhon mein
ke jalva gir rahay rukh ki bahhar aankhon mein

nazar ho qadmon par un ke Nisar aankhon mein
banayen apna hon woh reh guzaar aankhon mein

nah ik nigah hi sadqa ho dil bhi qrban ho
karam kere to woh naqa sawaar aankhon mein

Basar ke sath baseerat bhi khoob roshan ho
lagaun khaak qadam baar baar aankhon mein

tumahray qadmon pay moti Nisar honay ko
hain be shumaar meri ashkbaar aankhon mein

nazar nah aaya qarar dil حزیں ab tak
nigah rehti hai yun be qarar aankhon mein

inhen nah dekha to kis kaam ki hain yeh ankhen
ke dekhnay ki hai saari bahhar aankhon mein

nazar mein kaisay samayea ge phool jannat ke
ke bas chuke hain madeeney ke khaar aankhon mein

ajab nahi ke likha looh ka nazar aaye
jo naqsh pa ka lagaun gubhar aankhon mein

miley jo khaak qadam un ki mujh ko qismat se
lagaun surma nah phir زینہار aankhon mein

madinah jaan chaman aur khizaa se Aiman hai
lagaye khaak wahan ki hazaar aankhon mein

khulay hain deedaa ashaaq khawab merg mein bhi
ke is nigaar ka hai intzaar aankhon mein

khizaa ka daur sun-hwa daur woh jahan aaye
hui hai qadmon se un ke bahhar aankhon mein

yeh Ishtiaq tri deed ka hai jaan jahan
dam agaya hai dam Ahtzar aankhon mein

yeh aasman ke tarre yeh nargis Shehla
tra hi jalva hai un be shumaar aankhon mein

yeh dam hamara koi dam ka aur mehmaan hai
karam se lijiye dam bhar qarar aankhon mein

woh sabz sabz nazar araha hai gunbad sabz
qarar agaya yun be qarar aankhon mein

bahhar duniya hai faani nazar nah kar is par
hai koi dam ki yeh saari bahhar aankhon mein

yeh Gul yeh ghunche yeh Gulshan ke bail aur botay
inhen ke dam ki hai saari bahhar aankhon mein

yeh haal zaar hai furqat mein tairay مصنطر ka
ke asshk atay hain be ikhtiyar aankhon mein

wohi mujhe nazar ayen jidhar nigah karoon
inhen ka jalva rahay aashkaar aankhon mein

yeh dil tarap ke kahin aankhon mein nah aajay
ke phir raha hai kisi ka mazaar aankhon mein

nah aisay phool khulay hain kabhi nah agay khulein
baharon mein hai arab ki bahhar aankhon mein

qareeb hai rigg gardan se par judda hai woh
nah yaar dil mein maken hai nah yaar aankhon mein

yeh qurb aur yeh doori kkhuda ki qudrat hai
ke hoga Khuld mein deedar yaar aankhon mein

karam yeh mujh pay kya hai marey tasawwur ne
ke aaj khech di tasweer yaar aankhon mein

farishto puchhte ho mujh se kis ki ummat ho
lo dekh lo yeh hai tasweer yaar aankhon mein

nah sirf ankhen hi roshan hon dil bhi Beena ho
agar woh ayen kabhi aik baar aankhon mein

hazaar ankhen hain taron ki ik Gul mehtaab
yeh aik phool hai jaisay hazaar aankhon mein

yun hi hain mah risalat bhi sab nabiyo mein
karor aankhon nahi be shumaar aankhon mein

yeh kya sawal hai mujh se ke kis ka bandah hai
mein jis ka bandah hon hai noor baar aankhon mein

hai aashkaar nazar mein jahan ki nirngi
jama hai naqsha Lail o nehar aankhon mein

jama sun-hwa hai tasawwur mein roza wala
basey hue hain woh Lail o nehar aankhon mein

nehar chehra wala to gaisu hain والیل
baham hue hain yeh Lail o nehar aankhon mein

piya hai jaam mohabbat jo aap ne نوریؔ
hamesha is ka rahay ga khumar aankhon mein

samanِ bakhshish


Related Content

  1. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  2. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  3. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain    Naat Lyrics
  4. Ham Faqeeron Ko Madeene
  5. Aey Mere Mola Mola Mola
  6. Mein Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics
  7. Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai (Naat Lyrics)
  8. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  9. Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
  10. Ya Nabi Ya Nabi
  11. Aap shamme risalat hain parwaney hum
  12. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  13. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  14. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  15. Tajalli E Noor E Kidam Ghous E Aazam  Naat Lyrics
  16. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  17. Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
  18. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  19. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  20. Azal Ki Khushboo Ho

Leave a comment