Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics

Kya Hi Zauk Afza Shafa’at

Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah

Karz Leti Hain Gunah Parhezgari Wah Wah

Khama-E-Qudrat Ka Husn-E-Dastkaari Wah Wah

Kya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Sawaari Wah Wah

Ashk Shab Bhar Intezar-E-Afwe Ummat Mein Bahe(n)

Main Fida Chaand Aur Yu Akhtar Shumari Wah Wah

Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar

Nadiya(n) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah

Noor Ki Khairaat Lene Daudte Hain Mehre Maah

Uthti Hain Kis Shaan Se Gard Sawaari Wah Wah

Neem Jalwe Ki Na Tab Aaye Qamar Saa To Sahi

Mehar Aur Un Talwo Ki Aaina Daari Wah Wah

Nafs Ye Kya Zulm Hain Jab Dekho Taaza Jurm Hain

Naatwa(n) Ke Sar Par Itni Bojh Bhari Wah Wah

Mujrimo Ko Dhundhti Phirte Hain Rehmat Ki Nigaah

Taaliye Bargashta Teri Saazgaari Wah Wah

Arz Begi Hain Shafa’at Afw Ki Sarkaar Mein

Chat Rahi Hain Mujrimo Ki Fard Saari Wah Wah

Kya Madine Me Saba Aayi Ki Phoolo Me Hain Aaj

Kuch Nayi Buu Bheeni-Bheeni Pyari-Pyari Wah Wah

Khud Rahe Parde Me Aur Aaina Akse Khaas Ka

Bhej Kar Anjaano Se Ki Rahdaari Wah Wah

Is Taraf Rouze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki Bahaar

Beechme Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Wah Wah

Sadqe Is In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam Ke

Ho Rahi Hain Dono Aalam Me Tumhari Wah Wah

Para-E-Dil Bhi Na Nikla dil Se Tohfe Me Raza

Un Sagane Ku Se Inti Jaan Pyari Wah Wah


Related Content

  1. Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  2. Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye  Naat Lyrics
  3. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  4. Mere Allah Ke Nigaar Salaam  Naat Lyrics
  5. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga Naat Lyrics
  6. AAKHRI LAMHON MEIN KYA SHEHR O BIYABAAN DEKHUN,
  7. Paigham Saba Layee Hai Yeh Gulzar E Nabi  Naat Lyrics
  8. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  9. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  10. Hum Ne Marny Ki Madiny men dua
  11. Ek Baar Madine Me Ho Jaye Mere Jaana  Naat Lyrics
  12. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  13. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  14. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  15. Ya Nabi Ya Rasool
  16. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  17. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  18. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  19. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  20. Bigare Huwe Bante Hain Kam Madine Me  Naat Lyrics

Leave a comment