Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)

Jahaan rauza e pak e Khairul wara hai

Wo jannat nahi hai to phir aur kya hai

Kahaan mai kahaan yeh Madine ke galiyaan

Yeh qisamt nahi hai to phir aur kya hai

Muhammed (saw) ki Azmath ko kya poochte ho

Ke wo Sahibe Qaba Qausain tehre

Bashar ki sare Arsh mehmaan nawazi

Yeh Azmath nahi hai to phir aur kya hai

Jo aasi ko Kamli me apne chupa le

Jo dushman ko bhi zakhm khakar dua de

Use aur kya naam dega zamana

Wo Rehmat nahi hai to phir aur kya hai

Qayamat ka ek din muaiyan hai lekin

Hamare liye har nafas hai qayamat

Madine se hum jaan nisaraun ki doori

Qayamat nahi hai to phir aur kya hai

Tum Iqbal yeh naat kehto rahe ho

Magar yeh bhi soncha ke kya kar rahe ho

Kahaan tum Kahaan madhe Mamduhe Yazdaan

Ye jur\’rat nahi hai to phir aur kya hai


Related Content

  1. Allah Allah Allahu,Allah Allah Allahu
  2. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  3. Ham Faqeeron Ko Madeene
  4. Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
  5. Koi Kaise Samajh Paayega Rutba Sabz Gumbad Ka  Naat Lyrics
  6. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  7. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)
  8. Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
  9. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  10. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  11. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  12. Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha  Naat Lyrics
  13. Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics
  14. Aawaz panch waqt lagati hai momino
  15. Aap shamme risalat hain parwaney hum
  16. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  17. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  18. Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh (Naat Lyrics)
  19. Rok Leti Hai Aapki Nisbat  Naat Lyrics
  20. Aankhon ka taara naame Muhammed

Leave a comment