Habib-e-Khuda ka nazaara karoon main
Dil-o-jaan un par nisaara karoon main
Teri kakshe pa yu savaara karoon main
Ke palko se usko buhaara karoon main
Mera din-o-iman farishte jo puche
Tumhari hi janib ishaara karoon main
Yeh ek jaan kiya hai agar ho karoron
Tere naam par sab ko wara karoon main
Tere naam par sar ko qurbaan karke
Tere sar se sadqe utaara karoon main
Main kiyu ghair ki thokre khane jao
Tere dar se apna guzaara karoon main
Dam-e-wapsi tak tere geet gau
Mohammed(S.A.W.W) Mohammed(S.A.W.W)
Mohammed(S.A.W.W) Mohammed(S.A.W.W)
Mohammed(S.A.W.W) Pukara karoon main
Tera zikr lab par Khuda dil ke andar
Yuhi zindagani guzaara karoon main
Khuda khair se laye wo din bhi Noori
Madine ki galiya bulaara karoon main