Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai  Naat Lyrics

Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai Naat Lyrics

Unhi Ke Aane Ki Khushiya Manane Aaye  He

Firishte Aaj Jo Dhume Machane Aaye  He

Unhi Ke Aane Ki Shadi Rachane Aaye  He

Falak Ke Hur O Malak Geet Gaane Aaye  He

Ki Do Jahan Me Ye Danke Bajane Aaye  He

Ye Bhule Bichdo Ko Raste Pe Laane Aaye  He

Ye Bhule Bhatko Ko Hadi Banane Aaye  He

Chamak Se Apni Jahan Jagmagane Aaye  He

Mahak Se Apni Ye Kunche Basane Aaye  He

Naseem E Faiz Se Gunche Khilane Aaye  He

Karam Ki Apni Bahaare Dikhane Aaye  He

Yahi To Sote Huwo Ko Jagane Aaye  He

Yahi To Rote Huwo Ko Hasane Aaye  He

Unhe Khuda Ne Kiya Apne Milk Ka Malik

Unhi Ke Qabze Me Rabb Ke Khazane Aaye  He

Jo Chahenge Jise Chahenge Ye Use Denge

Kareem  He Ye Khazane Lutane Aaye  He

Rauf Aise  He Ye Aur Raheem  He Itne

Ki Girte Padto Ko Seene Lagane Aaye  He

Sunoge “La” Na Zabaan E Kareem Se Noori

Ye Faiz O Jood Ke Dariya Bahane Aaye  He


Related Content

  1. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  2. Dardo Aalam Ke Mare
  3. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  4. Al Nabi Sallu Alai
  5. ShaheMadina Naat Lyrics
  6. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  7. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi  Naat Lyrics
  8. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  9. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  10. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  11. Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda  Naat Lyrics
  12. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  13. Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara  Naat Lyrics
  14. Har Waqt Tasawur Main Madine Ki Gali
  15. Zamin- O- Zamin Tumhare Liye
  16. Sahar Ka Waqt Hai Masum Kaliya Muskurati Hain  Naat Lyrics
  17. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  18. parho woh matlaye noori sanaye mahre Anwar ka Lyrics
  19. AASMA GAR TERE TALWOON KA NAZARA KARTA
  20. ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI

Leave a comment