Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh

Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh

Karam Ka Chashmae Jaari He Barahvi Tareekh

Hame To Jaan Se Pyari He Barahvi Tareekh

Aduu Ke Dil Ko Katari He Barahvi Tareekh

Isi Ne Mousame Gil Ko Kiya He Mousame Ghul

Bahare Fazle Bahari He Barahvi Tareekh

Falak Pe Arshe Baree Ka Ghuman Hota He

Zameene Khuld Ki Kyari He Barahvi Tareekh

Tamaam Ho Gayi Meelade Ambiya Ki Khushi

Hamesha Ab Teri Baari He Barahvi Tareekh

Khuda Ke Fazl Se Imaan Me He Hum Poore

Ke Apni Rooh Me Saari He Barahvi Tareekh

Wiladate Shahedee Har Khushi Ki Ba-is He

Hazaareid Se Bhaari He Barahvi Tareekh

Hamesha Tune Ghulamo Ke Dil Kiye Thande

Jale Jo Tujhse Wo Naari He Barahvi Tareekh

Aduu Wiladate SHetan Ke Din Manaye Khushi

Keeideid Hamari He Barahvi Tareekh

Hasan Wiladate Sarkaar Se Huva Roushan

Mere Khuda Ko Bhi Pyari He Barahvi Tareekh


Related Content

  1. Karam Karam Mola
  2. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  3. Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastagheer   Naat Lyrics
  4. Raate Bhi Madine Kee Baate Bhi Madine Kee  Naat Lyrics
  5. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  6. Ban Ke Noor E Khuda Mustafa Agaye
  7. Tala Al Badru Alyna
  8. Aanay Walo Yay To Bataao Shehr Madina Kaisa Hai (Naat Lyrics)
  9. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics
  10. TARON MEIN ROSHNI
  11. Tajalli E Noor E Kidam Ghous E Aazam  Naat Lyrics
  12. Khuda Ka Khas Ek Ehsaan Hai Ye Aulia Allah  Naat Lyrics
  13. Noori Mahfil Lyrics
  14. Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi Hai
  15. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  16. Aadha Idhar Aadha Udhar
  17. He Kalaame Ilahi Me Shamsudduha  Naat Lyrics
  18. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  19. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  20. Noor E Ahmed Ki Ziyaa Hai Maslak E Ahmed Raza  Naat Lyrics

Leave a comment