Noor E Ahmed Ki Ziyaa Hai Maslak E Ahmed Raza  Naat Lyrics

Noor E Ahmed Ki Ziyaa Hai Maslak E Ahmed Raza Naat Lyrics

Noor-E-Ahmed Ki Ziya He  Maslake Ahmad Raza

Shama-E-Deen-E-Mustafa He  Maslake Ahmad Raza

Log Kehte Hen Ke Kya He ?Maslake Ahmad Raza

Maslake Ahmad Raza He Maslake Ahmad Raza

Mazhab-E-Hanfi Ho Ya Ho  Mashrab-E-Ghous-O-Ali

Hum Talak Pahuncha Raha He Maslake Ahmad Raza

Rab Ko Mano Aur Habeeb-E-Rab Se Tum Ulfat Karo

Han Yahi To Keh Raha He Maslake Ahmad Raza

Yeh Sikhata He Shariat Aur Tareeqat Ke Usool

Deen-O-Ima’n Ki Jila He Maslake Ahmad Raza

Fi Zamana Sunniyat Ki Bus Yahi Pehchan He

Sikka Rayej-Ul-Waqt Ka He Maslake Ahmad Raza

Poori Sunni Duniya Mein  Sachche Aqeede Ke Liye

Ibtida Aur Intiha He  Maslake Ahmad Raza

Alahazrat Ka Yeh Ahsa’n Hum Musalmano Pe He

Ishq-E-Ahmed De Raha He Maslake Ahmad Raza

Nam Ke “Sayyed” Jo Jalte Hen Raza Ke Nam Se

Unke Dil Mein Chubh Raha He Maslake Ahmad Raza

Samna Hota He Jab Bhi Dushmanan-E-Deen Se

Dhal Banker A Gaya He Maslake Ahmad Raza

Murshid-E-Marehra Ne Nisbat Raza Ko Aisi Di

Sharah-E-Deen-E-Haq Bana He Maslake Ahmad Raza

“Nazmi” Tumko Kiyon Na Barkati Raza Per Naz Ho

Tum Ne Ghutti Mein Piya He Maslake Ahmad Raza


Related Content

  1. Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics
  2. Mein Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics
  3. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  4. Sweet Madina Sweet Madina  Naat Lyrics
  5. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  6. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
  7. TARON MEIN ROSHNI
  8. An Nabi Sallo Alaih  Naat Lyrics
  9. Ae Saba Mustafa Se Kah Dena Gam Ke Mare Salam Kahte Hain Naat Lyrics
  10. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  11. Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara  Naat Lyrics
  12. Dare Khwaja Pe Sawali Ko Khada Rehne Do (Naat Lyrics)
  13. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  14. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  15. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib   Naat Lyrics
  16. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  17. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  18. Baabe Haram Khula Hai Chati Ki Bahar Hai Lyrics
  19. Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  20. Piraane Pir, Meri Bigri Banaao  Naat Lyrics

Leave a comment