Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics

Ab bula lijiye na Madina
Aa raha hai ye hajj ka Mahina
Dil Mera toot jaae kahin na
Al-Madad Taajdare Madina

Mujhko Aaqa Madine bulalo
Hasratein Dil ki saari nikalo
Ghaus-e-Aazam ka sadqa nibhalo
Ab to kehdo Mujhe chal Madina

Aansuon ki ladi ban gayi ho
Aur aanhon se phat’ta ho sina
Wirde lab ho Madina Madina
Jab chale Soo-e-Tayba Safina

Aansuon ki jhadi lag gayi hai
Yaad Aaqa ki tadpa rahi hai
Ispe deewanagi chha gayi hai
Yaad aaya hai isko Madina

Dil se ulfat jahan ki nikalo
Is tabahi se Maula bacha lo
Mujhko deewana Apna banalo
Mera seena bana do Madina

Jab Madine mein ho apni aamad
Jab mein dekhun Tera Sabz gumbad
Hichkiyan bandh kar ro-uun behad
Kaash aa jaye aesa Karina

Hai Tamanna-e-Attar Ya Rabb
Unke jalwon mein yun Maut aaye
Jhum kar jab gire Mera lasha
Tham lein badh ke shahe Madina


Related Content

  1. Aankhon Mein Bas Geya Hai Madina Huzoor Ka Naat Lyrics
  2. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi
  3. Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
  4. Ujaala Jis Ka Hai Do Jahaan Mein, Woh Mere Aaqa Ki Roshni Hai
  5. Al Nabi Sallu Alai
  6. Gali Hondi Madine Di Lyrics
  7. ZIKR E KHAIR UL WARA NAAT LYRICS
  8. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  9. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  10. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  11. Ni Mitiyye Madeene Diye
  12. MEHBOOB DA MELA AE
  13. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics
  14. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  15. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  16. Qurban Tumpe Meri Jaan
  17. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  18. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
  19. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  20. AASMA GAR TERE TALWOON KA NAZARA KARTA

Leave a comment