Me Aasi Hun Magar Tu Bara Gaffar Ya Allah
Me aasi hoon magar tu bara gaffar ya allah
Karam se apne karde mera bera par ya allah
Sama jae mere dil Me muhbbat ke tere jalwe
Jidhar dekhu nazar aae tera anwar ya allah
Karam se apne karde mera bera…………………………
Kadam bosi mayassar ho tere mahabub ki yarab
Rahu banakar gulame sayyide abrar ya
Karam se apne karde mera bera…………………………
Tamnna hain ke apni zindagi Me dekhalu Me bhi
Tere pyare tere mahabub ka darbar ya allah
Karam se apne karde mera bera…………………………
Teri rahmat nazar aae kisi surat in aankho ko
Mere bigare huwe ban jae karobar ya allah
Karam se apne karde mera bera…………………………
Rahu teri raza par Me hamesha sabiro sakir
Na de duniya ka koi gam muje aazar ya allah
Karam se apne karde mera bera…………………………
Tamannae dili ye hain janabe gaus aazam ka
Dikhade pyara pyara noorani darbar ya allah
Karam se apne karde mera bera…………………………
Tere dariyae rahmat Me ho tugyani pae bakhshish
Ho ‘kasim’ hashr Me jab hazir darbar ya allah
Karam se apne karde mera bera…………………………