Mil Gaya Dar Tera Garib Nawaz  Naat Lyrics

Mil gaya dar tera Garib Nawaz
Ab toh hoga bhala Garib Nawaz

Martaba aapka Garib Nawaz
Marhaba Marhaba garib Nawaz

Haath failaye sab gadah hai
khade Bheek kar do ata Garib Nawaz

Kya bigadege yeh jahan waale
Tu hai haami mera Garib Nawaz

Mere Aaqa ne bhi tumhe chaha
Wah kya martaba Garib Nawaz

Humko darkaar hai zamane me
Bas tera aasra hai Garib Nawaz

Mai hu beemar teri chahat ka
Tu hai meri dawa Garib Nawaz

Meri toofan me fass gayi kashti
Paar isko laga Garib Nawaz

Mustafa mil gaye tere sadqe
Mil gaya ab Khuda Garib Nawaz

Jab bhi mushkil me tumko yaad kiya
Hausla mil gaya Garib Nawaz

Aap ho Mustafa ke dil ke kareeb
Mustafa ki ataa Garib Nawaz

Tujhme khusbu hai mere Aaqa ki
Har wali ne kaha Garib Nawaz

Zakhm jitney diye zamane ne
Sabki kar do dawa Garib Nawaz

Meri hai iltija mere Aaqa
Ho bhala hind ka Garib Nawaz

Zaat o Mazhab ka fark jaane bina
Karte sabka bhala Garib Nawaz

Koi apna nahi zamane me
Ek tere siwa Garib Nawaz

Mere kuch bhi kahe bina tumne
Haal e Dil sunn liya Garib Nawaz

Kitni aasaaniyo se har mushkil
Door karte ho Ya Garib Nawaz

Tumse nisbat hai is Saakib ki bhi
Laaj rakh lena Ya Garib Nawaz


Related Content

  1. Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
  2. Ekh Talab He Ekh Hi Khoo La Ilaha Illahu (Naat Lyrics)
  3. Ham Faqeeron Ko Madeene
  4. Aey Saba Mustafa Se Keh Dena
  5. Nabi Ki Naat Ki Mahefil Sajana Hum Na Chhorenge  Naat Lyrics
  6. Qurban Tumpe Meri Jaan
  7. Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte  Naat Lyrics
  8. Aseeron Ke Mushkil Kusha Ghous e Azam
  9. Sakhi Piya Ko Jo Main Na Dekhon (Naat Lyrics)
  10. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  11. Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
  12. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  13. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  14. Sultane Jahan Mehboobe Khuda Teri Shaano Shaukat Kya Kehna  Naat Lyrics
  15. Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo (Naat Lyrics)
  16. Karahe Hain Teri Sana Khani
  17. Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
  18. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  19. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  20. Ae Noor-e-mujjassim

Leave a comment