Dil Madina Mera Bana Aaqa

Dil madina mera bana Aaqa ,

Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa

Ab huzoori ho, dur doori ho,

Phir madine mujhe bula Aaqa

Maut ke baad, bhi suroor aee,

Aisi ulfat ki mai pila Aaqa

Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,

Koi zara Tu  kar ataa Aaqa

Kash roe Khashiyat-e-Rab se,

Behr-e-Farooq  dil mera Aaka

Behr-e-Usman  ba hea mujh ko,

Dijiye dolat-e-hea Aqa

Behr-e-Mola Ali mujhe ghalba,

Dushmano per tu kar ataa Aaka

Az pee Fatima mujhe apne,

Ishq mein har ghari rula Aaka

Behr-e-Hasnain de panah mujh ko,

Paikar-e-sabr or riza Aaqa

Mujh ko sadqe mein Bu-Hanifa  ke,

Aalim-e-baa amal bana Aaqa

Waasta tujh ko Ghous-e-Azam  ka,

Naik seerat mujhe bana Aaqa

Waasta tujh ko Alahazrat ka,

Tu mujhe muttaqi bana Aaqa

Mere ahlo-eaal ore mujh se,

Door ho jee har bala Aaqa

Muskura kar Ubaid se keh do,

Tu mera banda mein tera Aaqa


Related Content

  1. Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics
  2. Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye
  3. AA GAYE MUZDA SHAFAAT KA SUNANE WALE
  4. Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
  5. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  6. Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
  7. Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
  8. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  9. Khak Muj Me Kamal Rakhkha Hai  Naat Lyrics
  10. Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics
  11. Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad  Naat Lyrics
  12. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  13. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  14. Main To Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics
  15. Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)
  16. Salle Ala Nabi Ye Na Sale Ala Mohammadin  Naat Lyrics
  17. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  18. Jab Say Howa Hey Unka Karam
  19. Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
  20. Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi  Naat Lyrics

Leave a comment