A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Ho Mubarak Ahl-E-Imaan Hogayei Qismat Darakhshaan
Chaar Jaanib Dhoom Hai Sarkar Ki Milaad Ki
Jhoomta Hai Har Musalmaan Eid-E-Milaad Un Nabi
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Ghunchay Chutkay Phool Mehke Har Taraf Aayei Bahaar
Hogayei Subh-E-Baharaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Hum Na Kyun Roshan Karein Ghar Ghar Diye Milaad Ke
Khud Karay Jab Haq Charaghaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Eid-E-Milaad-Un-Nabi Tou Eid Ki Bhi Eid Hai
Bil Yaqeen Hai Eid-E-Eidaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Eid-E-Milaad-Un-Nabi Pe Jou Bhi Karta Hai Khushi
Uss Pe Ghurraata Hai Shaytaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Amina Ke Ghar Mohammad Ki Wiladat Hogayei
Khoob Jhoomo Ahl-E-Emaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Aao Deewano Chalo Sab Aamina Ke Ghar Chalein
Noor Se Bhar Laayein Damaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Khoob Jhoomo Ae Gunaahgaron Tumhari Eid Hai
Hogaya Bakhshish Ka Samaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Gham Ke Maaron Bay-Saharo Buss Tumhari Eid Hai
Hogaya Rahat Ka Samaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba
Ya Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم



Related Content

  1. Patta Patta Boota Boota Zikr E Khuda Mein Khoya  Naat Lyrics
  2. Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina
  3. Aaj Milad e Nabi Hai
  4. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  5. Apne Damane Shafa’at Mein Chhupaye Rakhna Naat Lyrics
  6. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon
  7. Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa
  8. Aap aye duniya vich door hoye gham
  9. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  10. Main To Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics
  11. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics
  12. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  13. Har Nazar Kamp Uthegi Mehshar Ke Din   Naat Lyrics
  14. Kaba Lyrics
  15. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  16. BARI UMEED HAI SARKAR QADMON
  17. Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)
  18. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  19. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI
  20. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Naat Lyrics

Leave a comment