Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi   Naat Lyrics

Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi,
Mujhko Ishq E Nabi Is Qadar Mil Gaya
Jagmagae Na Kyun Mera Aqs E Dron
Aik Pathar Ko Aaena Gar Mil Gaya

Jis Ki Rahmat Sey Taqdeer E Insan Khuly
Uski Janib He Darwaza E Jaan Khuly
Jaan E Umar E Rawan Ly K Jati Kahan
Khair Sey Mujhko Khair Ul Bashar Mil Gaya
Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Mahwar E Do Jahan Zaat Sarkar Ki
Or Meri Haisyat Aik Per Kaar Ki
Jiski Ik Rahguzar Tay Na Ho Umar Bhar
Qibla E Arzu To Magar Mil Gaya
Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Uska Deewana Hon Uska Majzoob Hon
Kya Ye Kam Hai Kay Mai Us Sy Mansoob Hon
Sarhad E Hashar Tak Jaonga By Dharak
Mujhko Itna To Zaad E Safar Mil Gaya
Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Jis Taraf Sey Bhe Guzren Meri Khwahishen
Mujhsy Sey Bach Kar Nikalti Rahi Laghzishen
Jab Jhukae Nazar Jhuk Gaya Mera Sar
Naqshe E Paa Uska Her Mor Per Mil Gaya
Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Zahn By Rang Tha Sans By Roop The
Rooh Per Maasiyat Ki Kari Dhoop The
Us Ki Chashm E Ghani Rounaq E Jaan Bani
Chhaon Jis Ki Ghani Wo Shajar Mil Gaya
Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Jab Sy Mujh Per Hua Mustafa Ka Karam
Ban Gaya Dil Muzafar Chiragh E Haram
Zindagi Phir Rahi The Bhatakti Hue
Meri Khana Badoshi Ko Ghar Mil Gaya


Related Content

  1. Gunahon Ki Adat Churah Meray Mowla  Naat Lyrics
  2. Woh Rasool Mera Rasool Hai (Naat Lyrics)
  3. Kis Chiz Ki Kami Hai Maula Teri Gali Main  Naat Lyrics
  4. Noor Wala Aya Hai  Naat Lyrics
  5. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem
  6. Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja  Naat Lyrics
  7. Mujdawa Hai Asiyo Shaf-e-Shah-e-Abrar Hai (Naat Lyrics)
  8. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  9. Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara  Naat Lyrics
  10. Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics
  11. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  12. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics
  13. Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte  Naat Lyrics
  14. Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)
  15. Barhy jo karky vo
  16. YA TAIBA YA TAIBA
  17. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  18. Aye Hasnain Ke Nana
  19. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  20. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)

Leave a comment