Wah Kya Joodo Karam Tazmeen

Koi Duniya E Ata Me Nahi Hamta Tera
Ho Jo Hatim Ko Mayassar Ye Nazara Tera
Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Me Ye Rutba Tera
Wah Kya Joodo Karam Hai Shahe Batha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Mangne Wala Tera.

Kuch Bashar Hone Ke Naate Tujhe Khud Sa Jaane
Aur Kuch Mahaz Payaami Hi Khuda Ka Jaane
Inki Aukaat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jaane
Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane
Kusrawa Arsh Pe Udta Hai Pharera Tera.

Kai Pushton Se Ghulami Ka Ye Rishta Hai Bahaal
Yahi Tifli Aur Jawaani Ke Bitaaye Maho Saal
Ab Budhape Me Khudara Hume Yoon Dar Se Na Taal
Tere Tukdon Pe Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiya Khaaye Kaha Chchod Ke Sadqa Tera.

Ghame Dauran Se Ghabraiye To Kisse Kahiye
Ab Apni Uljhan Kise Batlaiye Kisse Kahiye
Cheer Kar Dil Kise Dikhlaiye Kisse Kahiye
Kiska Muh Takiye Kaha Jaaiye Kisse Kahiye
Tere Hi Qadmon Pe Mit Jaaye Ye Paala Tera.

Nazre Ushshaqe Nabi Hai Ye Mera Harfe Ghareeb
Mimbare Waaz Pe Ladte Rahe Aapas Me Khateeb
Ye Aqeeda Rahe Allah Kare Mujh Ko Naseeb
Mai To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik Ke Habeeb
Yani Mehboobo Muhib Me Nahi Mera Tera.

Tujh Se Har Chand Woh Hai Qadro Fazaail Me Rafee’
Kar Naseer Aaj Magar Fikre Raza Ki Tausee’
Paas Hai Uske Shafa’at Ka Waseela Bhi Waqee’
Teri Sarkar Me Laata Hai Raza Usko Shafee’
Jo Mera Gaus Hai Aur Laadla Beta Tera.


Related Content

  1. Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale  Naat Lyrics
  2. Al Nabi Sallu Alai
  3. Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Naat
  4. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  5. Ban Ke Noor E Khuda Mustafa Agaye
  6. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  7. Sakhi Piya Ko Jo Main Na Dekhon (Naat Lyrics)
  8. Karam Karam Mola
  9. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  10. Ishq Ke Rang  Naat Lyrics
  11. Ujaala Jis Ka Hai Do Jahaan Mein, Woh Mere Aaqa Ki Roshni Hai
  12. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  13. Uchiyan Uchiyan Shaana 
  14. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)
  15. Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do   Naat Lyrics
  16. Tala Al Badru Alyna
  17. Aa Dil Main Tujhe Rakh Loun
  18. Kaabe Ke Badrud Duja Tum Pe Karoron Durood  Naat Lyrics
  19. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  20. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi  Naat Lyrics

Leave a comment