Kyunkar na merey dil main hu Ulfat Rasool ki.
Jan’nat main leke jayegi Chahat Rasool Ki.
Chalta houn mian bhi Qafilay walo ruko zara.
Milnay do bus mujhe bhi ijazat Rasool ki.
Poochain ju Din o Eman Nakeerain Qabr main.
Us waqt merey lub pe hu Midhat Rasool ki.
Qabr main Sarkar a’ain tu main Qadmoun main Jhukoon.
Gar Farishtay bhi uthain tu main unsay youn kahoun.
Ab tu Pay-e-Naz se main aye Fatistoun kyun uthoun.
Mar ke puhancha houn yahan Is Dilruba ke wastay.
Tarpa ke unke qadmoun mian mujhko gira de shouq.
Jis waqt hu Lahad main Ziyarat Rasool ki.
Sarkar ne bula ke Madina dikha diya.
Hogi mujhe naseeb Shafa’at Rasool Ki.
Ya Rub dikha de aaj ki Shab Jalwa-e-Habib.
Ik baar tu ata ho Ziyarat Rasool ki.
In ankhoun ka warna koi masraf hi nahee hey.
Sarkar tumhara Rukh-e-Zaiba nazar aaye.
Ya Rub dikha de aajki Shab Jalwa-e-Habib.
Ik baar tu ata hu Ziyarat Rasool ki.
Tu hey ghulam unka Obaid-e-Raza terey.
Mehshar main hogi saath Himayat Rasool Ki.
Kyunker na merey dil main hu Ulfat Rasool ki.
Jan’nat main leke jayegi Chahat Rasool Ki.