Ho karam sarkar ab to ho gae ghum beshumar
Jaan o dil tum pur fida ae do jahan ke tajdar
Mein akela aur masaail zindagi ke beshumar
aap hi kuch kijiye na ae shah e aali waqaar
Ya Rasulallah sun lijiye meri furyad ko
kon hai jo ke sune tere siwa meri pukaar
Yaad aata hai tawaf e khana e ka’aba mujhe
aur lipatna multazam se walihana bar bar
Choom kar khak e madina jhoomta phirta tha mein
yaad aatein hain madine ke mujhe lail o nahar
Gumbade khazra ke jalwe aur woh iftariyaan
yaad aati hai bohot ramzan e taiba ki bahaar
Juld phir tum lo bula aur subz gumbad do dikha
hazri ki aarzoo ne kar diya phir beqaraar
Ghumzada yun