Hum Ko Bulana Ya Rasulallah

Hum ko bulana Ya Rasulallah

Hum ko bulana Ya Habiballah

Kabhi to subz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge

hamein bulwaein ge aaqa madina hum bhi dekhaein ge

Dharak uthe ga ye dil ya dharkna bhool jaae ga

dil e bismil ka us dur pur tamasha hum bhi dekhein ge

Adab se haath baande un ke roze pur khare hon ge

sunehri jaaliyon ka yun nazara hum bhi dekhein ge

Dar e dolat se lotaya nahi jaata koi khali

wahan khairat ka butna khudara hum bhi dekhein ge

Barasti gumbad e khuzra se takrati hui boondein

wahan pur shan se baarish barasna hum bhi dekhein ge

Guzare raat din apne issi ummeed pur hum ne

kisi din to jamal e roo e zeba hum bhi dekhein ge

Dum e rukhsat qadam mun bhar ke hain mehsoos karte hain

kise hai jaa ke lot aane ka yaara hum bhi dekhein ge

Pohonch jaaein ge jis din ae ujagur un ke qadmon mein

kise kehtein hain jannat ka nazara hum bhi dekhein ge

Hum ko bulana Ya Rasulallah

Hum ko bulana Ya Habiballah


Related Content

  1. Aaj Milad e Nabi Hai
  2. Madani Madine Waale (Naat Lyrics)
  3. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  4. Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
  5. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  6. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  7. Apni Lagan Laga De
  8. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)
  9. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  10. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  11. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  12. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  13. Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
  14. Un Ki Nazar Mein
  15. Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar
  16. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  17. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics
  18. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  19. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  20. Dardo Aalam Ke Mare

Leave a comment