Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics

ILAHI MADAD KAR MADAD

KI GHARI NAAT LYRICS

ILAHI MADAD KAR MADAD KI GHARI NAAT LYRICS
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.


Related Content

  1. Jasne Amade Rasool Allah Hi Allah  Naat Lyrics
  2. Mil Gaya Dar Tera Garib Nawaz  Naat Lyrics
  3. Kaabe Ke Dar Ke Saamne Maangi Hai Dua Faqat  Naat Lyrics
  4. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  5. Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
  6. Choote Na Kabhi Tera Daman ya khwaja moinuddin hassan
  7. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  8. Ali Haidar ka gharana
  9. Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Main (Naat Lyrics)
  10. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  11. Rab Mehfilan Sajayan
  12. Aey Saba Mustafa Se Keh Dena
  13. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  14. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  15. Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte  Naat Lyrics
  16. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  17. Azal Ki Khushboo Ho
  18. Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
  19. Mainto Panjatan Ka Gulam Hu  Naat Lyrics
  20. Chamak Tujh Say Paatay Hain

Leave a comment