Abr E Karam Gesoo E Muhammad

Abr E Karam Gesoo E Muhammad
Donu Haram Abroo E Muhammad

Sab Ki Nazar Hay Soo E Ka’bah
Ka’bah Takay Hay Roo E Muhammad

Ka’bay Ko Kis Ne Banaya Qiblah
Ka’bay Ka Ka’bah Roo E Muhammad

Sajda E Sar Hay Soo E Ka’bah
Sajda-E-Dil Hay Soo E Muhammad

Saaray Chaman Mein Kis Ki Khushboo
Khushboo Hay Khushboo E Muhammad

Kis Ki Chamak Hay Paykar E Gul Mein
Gul Mein Khila Hay Roo E Muhammad

Dhaaray Chalay Har Ungli Se Unki
Dekho Wo Nikli Joo E Muhammad

Sab Se Anokha Moo E Muhammad
Sab Se Niraali Koo E Muhammad

Kis Ka Moo Deta Hay Gawahi
Moo E Muhammad Moo E Muhammad

Zinda Hay Wallah Zinda Hay Wallah
Jaan E Do Aalam Roo E Muhammad

Rashk E Tayba Kia Hay Dikhaun?
Dekho Qad E Dil Joo E Muhammad

Bheeni Bheeni Khushboo Lahki
Khul Gaey Jab Gesoo E Muhammad

Ye Raah Mahki Woh Raah Mahki
Khul Gaey Jab Gesoo E Muhammad

Akhtar E Khasta Chal De Jinaan Ko
Baag E Jinaan Hay Koo E Muhammad


Related Content

  1. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  2. Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
  3. Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye  Naat Lyrics
  4. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh  Naat Lyrics
  5. Sab Ke Bas Ki Baat Nahi  Naat Lyrics
  6. Do jag de wich hoye ujaale,
  7. Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna  Naat Lyrics
  8. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  9. YA TAIBA YA TAIBA
  10. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  11. Tum Par Main Jan
  12. Aaj Muhammad aye moray ghar
  13. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  14. Ravi De Kande Mere Data Dera Laya  Naat Lyrics
  15. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  16. Ay Mustafa Ke Phool Dilon Jaan Ya Hussain
  17. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  18. Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics
  19. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  20. Kabe Pe Pari Jab Pehli Nazar  Naat Lyrics

Leave a comment