Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi

Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
Khursheed ‘Ilm Un Ka Darakhshaan Hai Aaj Bhi

‘Arsah Hua Woh Mard E Mujaahid Chalaa Gayaa
Sunniyon Main Aik Sozish E Pinhaan Hai Aaj Bhi

Imaan Paa Rahaa Hai Halaawat Ki Naematein
Aur Kufr Tere Naam Se Larzaan Hai Aaj Bhi

Kis Tarah Itne ‘Ilm Ke Daryaa Bahaa Deyee
‘Ulamaa E Haq Ki ‘Aql To Hayraan Hai Aaj Bhi

Maghmum Ahl E ‘Ilm Nah Hon Kyun Tere Liye
Jab ‘Ilm Khud Hi Sar Bagareeban Hai Aaj Bhi

Sab Unke Jalne Walon Ke Ghu Ho Gaye Chiraagh
Ahmad Raza Ki Sham’a Farozaan Hai Aaj Bhi

‘Ishq E Habib E Paak Mein Dubaa Hua Kalaam
Sarmaayah Nishaat Sukhandaan Hai Aaj Bhi

(Sall Allahu Ta’ala ‘Alaihi Wa Aalihi Wasallam)

Bhar Di Diloun Mein Ulfat O ‘Azmat Rasul Ki
Jo Makhzan E Halaawat E Imaan Hai Aaj Bhi

(Sall Allahu Ta’ala ‘Alaihi Wa Aalihi Wasallam)

Tum Kya Gaye Ke Rawnaq E Mehfil Chali Gayei
Sh’er O Adab Ki Zulf E Pareshaan Hai Aaj Bhi

‘Aalim Ki Mawt Kehte Hain ‘Aalam Ki Mawt Hai
Apne Kiye Peh Mawt Pasheeman Hai Aaj Bhi

Wabastagaan Kyun Hon Pareeshaan Un Peh Jab
Lutf O Karam Unka Damaan Hai Aaj Bhi

Lillah Apne Faiz Se Ab Kaam Lejiye
Fitnoun Ke Sar Uthaane Kaa Imkaan Hai Aaj Bhi

Taibah Main Us Ki Zaat Salaamat Rahe Keh Jo
Teri Amaanatoun Kaa Nighehbaan Hai Aaj Bhi

Mirza Sare Niyaaz Jhukaataa Hai Is Liyee
‘Ilm O ‘Amal Peh Aap Ka Ihsaan Hai Aaj Bhi

– Manqabat Of Shaykh Al Islam Al Mujaddid Al Aazam Imam Ahmad Rida
Rahimahullahu Ta’ala


Related Content

  1. Azal Ki Khushboo Ho Jismein
  2. Hamen Donon Jahan Mein Hai Sahara Gause-Azam Ka Lyrics
  3. Nabi ki naat ki Mehfil Sajjaana ham Na chaurein Ge
  4. Aey Saba Mustafa Se Keh Dena
  5. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  6. Ujaala Jis Ka Hai Do Jahaan Mein, Woh Mere Aaqa Ki Roshni Hai
  7. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  8. Ek Ghuzarish  Naat Lyrics
  9. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  10. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  11. BARI UMEED HAI SARKAR QADMON
  12. Sunni Musalman Mai Sunni Musalman  Naat Lyrics
  13. Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
  14. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  15. Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
  16. AAKHRI LAMHON MEIN KYA SHEHR O BIYABAAN DEKHUN,
  17. Ye Zakm He Tayba Ka Ye Sub Ko Nahein Milta
  18. Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi  Naat Lyrics
  19. Tere Qadmo Me Aana, Mera Kaam Tha (Naat Lyrics)
  20. Noori Mahfil Lyrics

Leave a comment