Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
Madiney Mey Bulaatey Ho Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Tasawwur Mey Takhayyul Mey Madiney Aatey Jaatey They
Bulaaya Ab Madiney Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Gira Hoon Baarey Isyaan Sey Agisnee Ya Rasool Allah
Girey Ko Tum Uthaatey Ho Uthaatey Yunhi Rehna Tum
Gham-E-Ishq-E-Muhammad Mey Rahey Aankhain Hameysha Nam
Pilaatey Jaam E ‘Ulfat Ho Pilaatey Yunhi Rehna Tum
Nazar Key Saamney Haazir Hain Aaqa Aap Ka Mujrim
Mitaao Is Key Jurmo Ko Mitaatey Yunhi Rehna Tum
Mili Iftaar Ki ‘Izzat Mujhey Phir Maah E Ramzan Mey
Khilaya Mujh Ko Qadmon Mey Khilatey Yunhi Rehna Tum
Miley Shab Qadr Ki Ne’mat Shahaa Hamza Key Sadqey Mey
Lutaatey Unka Sadqa Ho Lutaatey Yunhi Rehna Tum
Chala Hoon Phir Madiney Sey Liye Arman Yeh Dil Mey
Bulaana Jald Taibah Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Muradain Sab Ney Paayee Hain Isi Sarkaar Mey Aakar
Hansaya Tumney Roton Ko Hansatey Yunhi Rehna Tum
Karam Sey Aap Key Jaaga Pisar Ka Bakhtey Khufta Yun
Dikhaaya Usko Taibah Bhi Dikhaatey Yunhi Rehna Tum
Yeh Maana Mujrimo ‘Aasee Tumhaara Shakir E Noorie
Nibhaatey Isko Rehtey Ho Nibhaatey Yunhi Rehna Tum
Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
Related Content
- Eidon Ki Hai Eid Aayi
- Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai Naat Lyrics
- Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
- TARON MEIN ROSHNI
- Gali Hondi Madine Di Lyrics
- Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
- ZIKR E KHAIR UL WARA NAAT LYRICS
- Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki Naat Lyrics
- Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka Naat Lyrics
- Khuda Ne Mujhko Diya Maa Teri Duaaon Se Naat Lyrics
- Jahan Roza E Pak Khreulwara Hai
- Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
- Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
- labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
- Sunni Musalman Mai Sunni Musalman Naat Lyrics
- Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
- Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me Naat Lyrics
- Mustafa Khairul Wara Ho Naat Lyrics
- Baqi Sabey Galan Chutiyan Ney Sariyan Lyrics
- Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha