Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah
Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya
Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Aaqa Ka Milad Aaya
Related Content
- Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
- Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
- YA RAB MERI SOI HUYI TAQDEER
- Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga Naat Lyrics
- Sabke Hajat Rawa Garib Nawaj Naat Lyrics
- Mein Mangta Haan Teray Ishq Da Naat Lyrics
- Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
- AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
- Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
- Ali Haidar ka gharana
- Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Naat
- Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
- Tumhi Arsh Say Farsh Par Janay Walay (Naat Lyrics)
- Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Naat Lyrics
- Mujdawa Hai Asiyo Shaf-e-Shah-e-Abrar Hai (Naat Lyrics)
- Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
- Jhoole Jhoole Pyare Mohammad Naat Lyrics
- Aap aye duniya vich door hoye gham
- Noorani Darbaar Madine Waale Ka
- Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics