Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics

Lo Madine ki tajjali se lagaye huye hain

Dil ko ham matla’ye – anwar banaye huye hein

Kashtiyaan apni kinaare pey lagaye huye hein

Kya woh doobey jo Muhammad key taraaye huye hein

Naam aane sey Abu Bakr o Umar ka lab par

Tu Bigerta hay woh pehloon mein sulaye huye hein

Hazir o Nazir o Noor o Bashar o Ghaib ko choorh!

Shuker kar woh tere ‘aibon ko chupaye huye hein

Ik jhalak aaj dikhaa Gumbad- e- Khazra ke Makeen

Kuch bhi hein, door se deedar ko aaye huye hein

Sar pey rakh deejiye zara  dast- e- tassali Aqa

Ghum key maare hein zamane ke sataye huye hein

Sharm e isian say nahen samny jaya jata

Yeh bhi kiya kam hay tery shaher main aye huye hein

Teri nisbat hi to hay jis ki badaulat hum log

Kufr key daur mein, Emaan bachaaye huye hein

Lo Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain Naat Lyrics

Kaash deewana bana lein woh hamein bhi apna

Aik dunya ko jo deewana banaye huye hein

Bosa-e dar se na rouk ab to inhe aey darbaan

Khud nahi aye yeh mehmaan bulaye huye hein

Qabr ki neend se uthna koi aasan na tha

Hum to Mehshar mein Unhe dekhne aaye huye hein

Kyun na palrha terey aamal ka bharee ho Naseer

Ab to Mizaan pey Sarkaar bhi aaye huye hein


Related Content

  1. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  2. Noori Mahfil Lyrics
  3. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  4. Dare Khwaja Pe Sawali Ko Khada Rehne Do (Naat Lyrics)
  5. Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja  Naat Lyrics
  6. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  7. Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum  Naat Lyrics
  8. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  9. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  10. Sab Ke Bas Ki Baat Nahi  Naat Lyrics
  11. Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho (Hamd)  Naat Lyrics
  12. Rab Ne Diya Hai Unko  Naat Lyrics
  13. Aao ke kare baate sarkar e do aalam ki
  14. Muje Mere Aaka Bulate Rahenge  Naat Lyrics
  15. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  16. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  17. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  18. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  19. Aap aye duniya vich door hoye gham
  20. Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam

Leave a comment