Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics

Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna
Mid-hat Ka Sila Dena Maqbool Sana Karna

Dil Zikre Shareef Unka Har Subho Masa Karna
Din Raat Japa Karna Har Aan Rata Karna

Seene Pe Qadam Rakhna Dil Shaad Mera Karna
Dard E Dil E Muztar Ki Sarkaar Dawa Karna

Sansaar Bhikari Hai Jag Daata Daya Karna
Hai Kaam Tumhara Hi Sarkaar Ataa Karna

Kab Aapke Kunche Me Mangta Ko Sada Karna
Khud Bheek Liye Tumko Mangta Ko Nida Karna

Din Raat Hai Taibah Me Daulat Ka Luta Karna
Mangta Ki Dawa Karna Mangta Ka Bhala Karna

Din Raat Khatao Par Humko Hai Khata Karna
Aur Tumko Ataao Par Har Dam Hai Ataa Karna

Hum Apne Khatao Par Naadim Bhi Nahi Hote
Aur Unko Ataao Par Har Baar Hai Ataa Karna

WALLAH Wo Sun Lenge Aur Dil Ki Dawa Denge
Bekaar N Jayega Faryado Buka Karna

Aada Ko Khuda Waala Jab Tumne Bana Daala
Dushwar Hai Tum Par Kya Mujh Badd Ka Bhala Karna

Taibah Me Bula Lena Aur Apna Banaa Lena
Qaidi Ghum E Furqat Ke Sarkaar Rihaa Karna

Hum Arz Kiye Jaaye Sarkaar Sune Jaaye
Kya Duur Karam Se Hai Din Aisa Shaha Karna

Har Daagh Mita Dena Aur Dil Ko Shifa Dena
Aayina Bana Dena Aisi Tu Jhila Dena

Parde Me Jo Rehte Ho Parda Hai Chale Aao
Aankhon Me Basa Karna Tum Dil Me Raha Karna

Hu Tishna Magar Saqee Deedar Ke Sharbat Ka
Ik Jaam Mujhe Pyare LILLAH Ataa Karna

Hai Pyaas Se Haal Abtar Nikli Hai Zubaa(n) Baahar
Ik Jaam Mujhe Sarwar Kauthar Ka Ataa Karna

Wo Tera Bura Chahe Mumkin Hi Nahi Un se
A’ada Ki Bhalayi Ki Jinko Hai Dua Karna

Duniya Bane Ya Bigde Duniya Rahe Ya Jaaye
Tu Deen Bana Pyare Duniya Ka Hai Kya Karna

Khaya Piya Aur Pehna Achho Se Raha Achha
Kuch Deen Ka Bhi Karle Duniya Ka Hai Kya Karna

Barbaad Na Ho Mitti IsKhaaq Ke Putle Ki
ALLAH Mujhe Unki Khaaqe Kafe Paa Karna

Kyu Naqshe Kafe Paa Ko Dil Se Na Lagaye Wo
Hai Aayina E Dil Ki Noori Ko Jhila Karna


Related Content

  1. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  2. AAJ MUSLIM TERA MEHMAAN CHAL DIYA –
  3. Taiba Bula Lijiye Na
  4. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  5. Tu Kareen hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane (Naat Lyrics)
  6. Sirf Ek Baar  Naat Lyrics
  7. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  8. Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte  Naat Lyrics
  9. Wo Kaisa Sama Hoga Wo Kaisi Gharri Hogi (Naat Lyrics)
  10. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  11. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  12. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  13. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  14. Jab Gumbad-e-khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi   Naat Lyrics
  15. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  16. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  17. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  18. Bighari Banaao Makki Madani  Naat Lyrics
  19. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  20. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics

Leave a comment