Main To Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics

Me to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Naat Lyrics

Me to khud Unke dar ka gada hoon,

Apne AaQA ko main nazr kya doon

Ab to aankhon me bhi kuchh nahin hai

Varna qadmon me aankhein bichha doon

Aane waali hai unki sawari

Phool naaton ke ghar ghar saja doon

Mere ghar me andhera bohot hai

Apni palkon pe shamme jala doon

Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai

Saamne mere AQA ka dar hai

Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai

Tumko lafzon me kaise bata doon

Mere aansu bahut kheemti hain

Inse waabasta hai unki yaadein

Inki manzil hai khak-e-madeena

Ye gohar yun hi kaise luta doon

Me faqat Aap ko jaanta hoon

Aur usi dar ko pehchanta hoon

Is andhere me kisko pukaroon

Aap farma’aein kisko sada doon

Me to Khud Unke Dar ka Gada Hoon Naat Lyrics

Qaafilay jaa rahe hain Madeene

Aur hasrat se  Me tak raha hoon

Ya lipat jaoon qadmon se unke

Ya qaza ko  Me apni sada doon

Meri bakhshish ka saamaan yahi hai

Aur dil ka bhi armaan yahi hai

Ek din Unki khidmat me jaakar

Unki naatein unhi ko suna doon

Mujhko IQBAAL nisbat hai unse

Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai

Me jahaan naat apni suna doon

Saari mehfil ki mehfil jaga doon


Related Content

  1. Rok Leti Hai Aapki Nisbat  Naat Lyrics
  2. Bolte Hain Sangreze Aapke Ishare Se  Naat Lyrics
  3. Jab Gunmbaday Khuzra Pae Woh Pehli Nazar Gae
  4. Tala Al Badru Alyna
  5. Roze Ki Deewar Se Rishta Jor Liya  Naat Lyrics
  6. Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo
  7. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
  8. Ay Mujahid-e-nabi Naat Gongunay Jaaa (Naat Lyrics)
  9. Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Laut Raha Ho  Naat Lyrics
  10. Ae Saba Mustafa Se Kah Dena Gam Ke Mare Salam Kahte Hain Naat Lyrics
  11. Mustafa Khairul Wara Ho  Naat Lyrics
  12. Ae Shaaf’e Umam Sha’e Zee Jaah Le Khabar
  13. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  14. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  15. Kaabe Ke Badrud Duja Tum Pe Karoron Durood  Naat Lyrics
  16. Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti (Naat Lyrics)
  17. Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics
  18. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  19. Tum Par Main Jan
  20. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics

Leave a comment