Meri Ulfat Madine Se Lyrics

Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi

Mere Aaqa Ka Roza Madine Mein Hai

Mein Madine Ki Jaanib Na Kaise Khinchu

Mera Deen Or Duniya Madine Mein Hai

Arsh E Aazam Pe Jis Ki Badi Shaan Hai

Roza E Mustafa Jis Ki Pehchan Hai

Jis Ka Hum Palla Koi Mohalla Nahi

Ek Aisa Mohalla Madine Mein Hai

Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi

Mere Aaqa Ka Roza Madine Mein Hai

Phir Mujhe Mout Ka Koi Khatra Na Ho

Mout Kya Zindagi Ki Bhi Parwah Na Ho

Kaash Sarkaar Ek Baar Mujh Se Kahe

Ab Tera Jeena Marna Madine Mein Hai

Meri Ulfat Madinay Say Yun Hi Nahi

Mere Aaqa Ka Roza Madinay Main Hai

Sarware Do Jahaan Se Dua Hai Meri

Ye Budo Chashmey Tar Ilteja Hai Meri

Un Ki Fehreest Mein Mera Bhi Naam Ho

Jinn Ka Roz Ana Jaana Madine Mein Hai

Meri Ulfat Madinay Say Yun Hi Nahi

Mere Aaqa Ka Roza Madinay Main Hai

Jab Nazar Suye Taiba Rawana Hui

Sath Dil Bhi Gaya Saath Jaan Bhi Gai

Mein Muneer Ab Rahunga Yaha Kisliye

Mera Sara Asasa Madine Mein Hai.

Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi

Mere Aaqa Ka Roza Madine Mein Hai


Related Content

  1. ZIKR E KHAIR UL WARA NAAT LYRICS
  2. Aaj Muhammad aye moray ghar
  3. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  4. Saare Jag Nalo Lagdiyan Changiyan Madine Diyan Paak Galiyan
  5. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  6. Noor ke motiyon ki larri ban gai
  7. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  8. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  9. Qurban Tumpe Meri Jaan
  10. Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics
  11. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  12. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  13. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  14. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  15. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  16. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  17. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  18. parho woh matlaye noori sanaye mahre Anwar ka Lyrics
  19. Abr E Karam Gesoo E Muhammad
  20. Zameen Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota (Naat Lyrics)

Leave a comment