Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics

Jo ho chuka hai jo hoga huzoor jante hen
Teri aata say Khudaya huzoor jaante hen

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya
Ke jantay thay sahaba huzoor jantay hein

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda huzoor jantay hen

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega huzoor jante hen

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha huzoor jante hen

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza huzoor jante hen

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye
Kahan say kisnay pukara huzoor jante hen

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein
Ke yaar e ghar ka rutba huzoor jante hen

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka
Woh apna hai ke paraya huzoor jante hen

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya
Mizaaj Umar ka hai kaisa huzoor jante hen

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian
Maqaam unki haya ka huzoor jante hen

Hen jiske moula huzoor uske hen Ali moula
Abu Turab ka rutba huzoor jante hen

Yeh khud shaheed hen betay nawasay potay shaheed
Ali ki shaan e yagana huzoor jante hen

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra huzoor jante hen

Jina mein kaun hen sardaar nojawanoon kay
Hasan Hussain ke nana huzoor jante hen

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko
Dar asal kis ko tha sajda huzoor jante hen

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha huzoor jante hen

Woh kitna fasla tha aur kalaam tha kaisa
Aao adna aur ma aaoha huzoor jante hen

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa
Yeh deed e haq ka bahana huzoor jante hen

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye
Sunaoon kaise fasana huzoor jante hen

Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko
Main kis qadar houn kameena huzoor jante hen

Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya
Hamein pata hai bus itna huzoor jante hen

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana huzoor jante hen

Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad
Ke unkay gham ka madawa huzoor jante hen

Teri aata say Khudaya huzoor jaante hen

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke
Unhein bhi dar pe bulana huzoor jante hen

Teri aata se Khudaya huzoor jaante hen

Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra huzoor jante hen

Teri aata se Khudaya huzoor jaante hen


Related Content

  1. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  2. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  3. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  4. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  5. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
  6. Na Chedo Zirk E Jannat  Naat Lyrics
  7. Nabi Ka Aastan Ho Or Mera Sar Ho To Kia Kehna  Naat Lyrics
  8. Manqabat E Taaj Ush Shariyath  Naat Lyrics
  9. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  10. La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
  11. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  12. Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main   Naat Lyrics
  13. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi
  14. Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
  15. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai  Naat Lyrics
  16. Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar
  17. Mustafa Aap Ke Jesa Koi Aaya Hi Nahi  Naat Lyrics
  18. Habib-e-Khuda Ka Nazaara Karoon Mein   Naat Lyrics
  19. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  20. Ya Rabb Mujhe Deewana Madina Ka Bana De (Naat Lyrics)

Leave a comment