Jahan Bani Ata Karde  Naat Lyrics

Mere Shamso-duha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey

Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Jahan mein unki chalti hai

Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde

Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar

Jaano maal un par fida kardey

Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde

Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey

Jahan mein aam paygam e shahe

Ahmad Raza kardey

Palat kar pichhe dekhey

Fir se Tajdeed e wafa kardey

Khataein karne wala main

Ataein karne wale aap

Mere Aaqa mere haq main

Ise dastur saa kardey

Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey

Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde

Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar

Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey


Related Content

  1. Tere Ishq Di Dolat
  2. As Sub Hu Bada Min Talati Hii   Naat Lyrics
  3. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  4. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  5. Mein Mangta Haan Teray Ishq Da  Naat Lyrics
  6. Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha   Naat Lyrics
  7. Mujdawa Hai Asiyo Shaf-e-Shah-e-Abrar Hai (Naat Lyrics)
  8. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gae Ghum Beshumar Naat Lyrics
  9. Hamen Donon Jahan Mein Hai Sahara Gause-Azam Ka Lyrics
  10. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  11. Ae Maut Thehr Ja, Main Madine Tay Ja Lawan
  12. Apni Lagan Laga De
  13. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  14. Ishq Ke Rang  Naat Lyrics
  15. Zamin O Zaman Tumhare Liye (Naat Lyrics)
  16. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  17. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
  18. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  19. Sweet Madina Sweet Madina  Naat Lyrics
  20. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics

Leave a comment