Jahaan Rauza E Pak E Khairul Wara Hai

Jahaan rauza e pak e Khairul wara hai

Wo jannat nahi hai to phir aur kya hai

Kahaan mai kahaan yeh Madine ke galiyaan

Yeh qisamt nahi hai to phir aur kya hai

Muhammed (saw) ki Azmath ko kya poochte ho

Ke wo Sahibe Qaba Qausain tehre

Bashar ki sare Arsh mehmaan nawazi

Yeh Azmath nahi hai to phir aur kya hai

Jo aasi ko Kamli me apne chupa le

Jo dushman ko bhi zakhm khakar dua de

Use aur kya naam dega zamana

Wo Rehmat nahi hai to phir aur kya hai

Qayamat ka ek din muaiyan hai lekin

Hamare liye har nafas hai qayamat

Madine se hum jaan nisaraun ki doori

Qayamat nahi hai to phir aur kya hai

Tum Iqbal yeh naat kehto rahe ho

Magar yeh bhi soncha ke kya kar rahe ho

Kahaan tum Kahaan madhe Mamduhe Yazdaan

Ye jur\’rat nahi hai to phir aur kya hai


Related Content

  1. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  2. Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu
  3. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  4. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  5. Rehbar O Taaj E Shariat Hai Aaaj Bhia  Naat Lyrics
  6. Hamen Donon Jahan Mein Hai Sahara Gause-Azam Ka Lyrics
  7. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  8. Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye  Naat Lyrics
  9. Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
  10. BATIL KE JAB JAB BADLE HAI TEVAR NAAT LYRICS
  11. Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara  Naat Lyrics
  12. Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
  13. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  14. MERE BAGHDAADI GHAUSUL ANAAM NAAT LYRICS
  15. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  16. Eidon Ki Hai Eid Aayi
  17. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  18. Allah Nabi Da Naam Layye Allah Nabi Da
  19. Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
  20. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics

Leave a comment