Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
Hasrata wa hasrata ab chal diya ramzan hai
Ashiqan-e-mah-e-ramzan ro rahen hain phoot kar
Dil bada bechain hai afsurda rooh-o-jaan hain
Alfiraq-o-walfiraq aye rab ke mehman alfiraq
Alfiraq-o-walfiraq aye mah-e-ramzan alfiraq
Alwada-o-walwada tujhko mah-e-ramzan hai
Teri kurkat mein dil-e-ushhaq tukde hain ho gaya
Aur seena chaak tere hijr mein ramzan hai
Dastan-e-gham sunayen kisko jakar aah ham
Ya rasoolullah (saw) dekho chal diya ramzan hai
Waqt-e-Iftar-o-seher ki ronaqen hongi kahan
Chand din ke baad ye sara saman sunsaan hai
Haay sad afsos ramzan ki na hamne qadr ki
Besabab hi bakhsh de ya rab ke tu rahman hai
Sab muslaman alwida kahten hain ro ro kar tujhe Ramzan
Aah chand ghadiyon ka ab tu rah gaya mahman hai
Hasrata wa hasrata ab chal diya ramzan hai
Chand aansu nazr hain bas aur kuchh palle nahin
Na wo roze rakhen na wo namazen padhin
Na wo tarawihyan padhi jo tere shaan ke layaq ho
Chand aansu nazr hain bas aur kuchh palle nahin
Nekiyon se aah ye khali mera daman hai
Kash aate saal ho attar ko ramzan naseeb
Kash aate saal ho ham sab ko bhi ramzan naseeb
Ya nabi meethe madine mein bada armaan hai
Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
Related Content
- Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)
- Eid-E-Nabvi Ka Zamana Aa Gaya Naat Lyrics
- Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar Naat Lyrics
- Tajalli E Noor E Kidam Ghous E Aazam Naat Lyrics
- MEHBOOB DA MELA AE
- HAR DESH MAIN GUNJEGA
- Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
- Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
- Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
- Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara Naat Lyrics
- Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa
- Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
- Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi Naat Lyrics
- Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
- AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
- Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara Naat Lyrics
- A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
- Aawaz panch waqt lagati hai momino
- Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics
- Nahi He Koi Duniya Main Hamara Naat Lyrics