Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa

Hamaray Aaqa hamaray Moula Imam e Azam Abu Hanifa
Hamaray Muljaa hamaray Maa’wa Imam e Azam Abu HanifaTum hi ko Maana, Tum hi ko Jana, Tumhi tou Sub k Imam Thehray
Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu HanifaZamanay bhar ne Zamanay bhar mein bohat tajassus kia hay lekin
Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu HanifaTumharay Aagay Tamam Aalam na kiun karay Zaano e Adab Kham
Kay Peshwayaan-e-Deen-e-Baala Imam e Azam Abu Hanifa

Na Kiun karain Naaz AhleSunnat kay Tum se Chamka Naseeb-e-Ummat
Siraj e Ummat Mila ho Tumsa Imam e Aazam Abu Hanifa

HAMARAY MAULA HAMARAY AAQA IMAM-E-AZAM ABU HANIFA NAAT LYRICS

Hua Uloo al-Amr se ye Sabit kay teri Taa’at zaroor wajib
Khuda ne tum ko kia hamra Imam e Azam Abu Hanifa

Siraaj Tu hay baghair teray jo koi samajhe Hadees o Quraan
Phiray batakhta na paaey rasta Imam e Azam Abu Hanifa

Jo Teri Taqleed shirk hoti, Muhaddiseen Saaray hotay Mushrik
Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imam e Azam Abu Hanifa

Ye jitnay Fuqaha Muhaddiseen hain, Tmharay Khirman se Khosha Cheen hain
wo Wastay se ye Bay Waseela Imam e Azam Abu Hanifa

Khabar le Ae Dastageer e Ummat Hay Saaiq e Be khabar pe Shiddat
Wo Tera ho kar phiray bathakta? Imame Azam Abu Hanifa


Related Content

  1. Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
  2. Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi   Naat Lyrics
  3. Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  4. Main Lab Kusha Nahi Hoon Aur Mehre Ilteja Hu  Naat Lyrics
  5. Zamin- O- Zamin Tumhare Liye
  6. Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma  Naat Lyrics
  7. Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
  8. Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka  Naat Lyrics
  9. Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
  10. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  11. Pir Mere Baghdaadi Ghaus Ul Anaam  Naat Lyrics
  12. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  13. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho
  14. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  15. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  16. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  17. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  18. Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics
  19. Sunni Musalman Mai Sunni Musalman  Naat Lyrics
  20. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics

Leave a comment