Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics

Sallay Ala Nabiyenna Sallay Ala Muhammadin
Sallay Ala Shafiyena Sallay Ala Muhammadin

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rab Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Dhoom Unn Ki Naa Khuwaani Ki Machatay Jayeinge
Ya RasoolAllah Ka Na’ra Lagatay Jayeinge

Na’t Khuwaani Maut Bhi Hum Se Chura Sakti Nahi
Qabr Mein Bhi Mustafa Ke Geet Gaatay Jayeinge

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Kitna Bara Hai Mujh Pe Ye Ahsaan-e-Mustafa
Kehte Hain Log Mujh Ko Sana Khuwaan-e-Mustafa

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Beher-e-Bakhshish Pass Apne Kuch Nahi Iske Siva
Umar Bhar Naatein Suneinge Aur Sunatay Jayeinge

Naat Khuwani Ka Nasha Nas Nas Mein Aisa Chah Gaya
Qabr Mein Bhi Geet Ubaid Ab Mustafa Ke Gayeinge

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Koi Guftugu Ho Lab Per Tera Naam Agaya Hai
Tera Zikr Kartay Kartay Ye Maqaam Agaya Hai

Jissay Peekay Sheikh Sa’di Balaghal Ula Pukarein
Mere Dast-e-Na Tawaan Mein Wohi Jaam Agaya Hai

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Tera Wasf Bayaan Ho Kisse Teri Kon Karega Barayei
Iss Gard-e-Safar Mein Gum Hai Jibreel-e-Ameen Ki Rasayei

Aey Raza Khud Sahib-e-Qur’an Hai Madaah-e-Rasool
TUjhse Kab Mumkin Hai Phir Midhat RasoolAllah Ki

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko Itni Meri Auqaat Nahi
Ye Tou Karam Hai Unka Warna Mujhe Mein Tou Aisi Baat Nahi

Ghaur Tou Kar Sarkar Ki Mujhper Kitni Khaas Inayat Hai
Kausar Tou Hai Unka Sana Khuwaan Ye Ma’mooli Baat Nahi

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Gham Nahi Chordey Ye Saara Zamana Mujhko
Mere Aaqa Tou Hain Seenay Se Laganay Ke Liye

Bakhsh Dei Naat Ki Daulat Mere Aaqa Ne Mujhe
Kitnay Pyara Waseela Sarkar Ko Paanay Ke Liye

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Seenay Mein Bhara Hai Teri Naaton Ka Khazana
Aalam Mein Lutata Hoon Kamayei Tere Dar Ki

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Sadayein Duroodon Ki Aatei Raheingi
Jinhein Sunke Dil Shaad Shaad Hota Rahega
Khuda Ahl-e-Sunnat Ko Aabaad Rakhay
Muhammad Ka Milad Hota Rahega

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Ab Ke Baras Bhi Hoonton Pe Unki Sana Rahei
Ab Ke Baras Bhi Wajd Mein Ghar Ki Fiza Rahei
Ab Ke Baras Bhi Madha Ke Khiltay Rahay Gulab
Ab Ke Baras Bhi Kasht-e-Dil-o-Jaan Sawar Rahi
Ab Ke Baras Bhi Lab Pe Taraana Tha Naat Ka
Ab Ke Baras Bhi Chaar Sou Mehki Saba Rahi
Ab Ke Baras Bhi Sheher-e-Sukhan Mein Thei Ronaqein
Ab Ke Baras Bhi Raqs Mein Meri Sada Rahi
Ab Ke Baras Bhi Shayr-O-Sukhan Se Theu Dosti
Ab Ke Baras Bhi Doston Hamd-O-Sana Rahei
Ab Ke Baras Bhi Tazkira-e-Mustafa Rahei
Ab Ke Baras Bhi Guftugu Sallay Ala Rahei

Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon
Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon

Mein Sadqay Ya RasoolAllah
Mein Sadqay Ya HabibAllah

Awaaz Ubaid Teri Bafaizan-e-Naat Hee
Seenon Mein Aashiqan-e-Nabi Ke Utar Gayei


Related Content

  1. Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale  Naat Lyrics
  2. Sunehri Jalion Ko Ab Nazar Aane Ka Muqam Do  Naat Lyrics
  3. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  4. Noori Mahfil Lyrics
  5. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  6. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain    Naat Lyrics
  7. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  8. Koyi Kya Jane Jo Tum Ho Khuda Hi Jaane Kya Tum Ho  Naat Lyrics
  9. Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
  10. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  11. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  12. Tere Ishq Di Dolat
  13. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  14. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  15. La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
  16. Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar  Naat Lyrics
  17. Huzoor Aa Gaye Hai  Naat Lyrics
  18. Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad  Naat Lyrics
  19. Saare Jag Nalo Lagdiyan Changiyan Madine Diyan Paak Galiyan
  20. Dare Khawaja Pe Sawali  Naat Lyrics

Leave a comment