Dare Khawaja Pe Sawali  Naat Lyrics

Dar e Khwaja Pe Sawali Ko Khara Rahne Do Naat Lyrics

Dar e Khwaja Pe Sawali Ko Khara Rahne Do

Sar Nidamat Se Jhuka He Tou Jhuka Rahne Do

Mujh Ko Mil Jayega Sadqa Me Chala Jaonga

Kasa-e-Dil Mera Qadmoon Me Para Rahne Do

Khud Hee Farmayenge Mujrim Pe Woh Rahmat Ki Nazar

Mujh Ko Khwaja Ki Adalat Me Khara Rahne Do

Chor Ke Aap Ka Dar Me Kahan Jaungaa

Iss Gada Ko Issi Saaye Me Para Rahne Do

Mujhko Karna Na Juda Dar Se Kabhi Khwaja Jee

Dil Jo Deewana Bana He Tou Bana Rahne Do

Roz e Mahshar Ye Gunahgar Ke Kam Aayegaa

Warsi Rang Charhra He To Charhra Rahne Do

Arz Karta Hoon Me Rozana Ye Khwaja Se Khalil

Apni Rahmat Se Jahaan Mera Saja Rahne Do


Related Content

  1. Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho Naat Lyrics
  2. Nabi Ki Naat Me Padh Lun To Koi Baat Nahi
  3. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Naat
  4. Noor Se Apne Sarwar E Aalam  Naat Lyrics
  5. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  6. Allah Ho Allah Ho Dum Ba Dum Allah Ho (Naat Lyrics)
  7. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  8. Bighari Banaao Makki Madani  Naat Lyrics
  9. Hota agar zameen par saya Rasool ka
  10. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  11. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  12. TERI JALIYON KE NEECHE
  13. Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics
  14. Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam  Naat Lyrics
  15. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics
  16. Jahan Roza E Pak Khreulwara Hai
  17. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  18. Phir Ke Gali Gali Tabah  Naat Lyrics
  19. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  20. Karahe Hain Teri Sana Khani

Leave a comment