Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The

Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
Doobey Suraj Ko Lautao Phir Kehna Hum Jaise The

Tum Bhi Zara Meraj Ko Jao Phir Kehna Hum Jaise The
Jao Namaze Lekar Aao Phir Kehna Hum Jaise The

Lohe Se Talwar Banana Aam Hai Duniya Main Lekin
Tehni Ko Talwar Banao Phir Kehna Hum Jaise The

Peshani Par Daagh Banana Koi Mushkil Kaam Nahi
Nakshe Qadam Pathar Par Banao Phir Kehna Hum Jaise The

Bamo Daro Dewar Salami Dene Lage Kuch Aisa Karo
Ped Ko Apne Paas Bulao Phir Kehna Hum Jaise The

Uper Jaana Neeche Aana Ye To Bashar Ki Taaqat Hai
Sayr E Jannat Kar Ke Dikhao Phir Kehna Hum Jaise The

Sarwar E Dee Ki Baat Badi Hai Chodon In Sab Baaton Ko
Unke Ghulamon Se Banjao Phir Kehna Hum Jaise The

Unki Har Ik Ungli Se Tha Jaari Chasma Ay Kaleem
Pani Un Pyason Ko Pilao Phir Kehna Hum Jaise The


Related Content

  1. Ae Shaaf’e Umam Sha’e Zee Jaah Le Khabar
  2. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya
  3. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  4. Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar  Naat Lyrics
  5. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  6. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  7. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  8. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  9. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  10. Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
  11. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  12. Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics
  13. Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
  14. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  15. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  16. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  17. Manghte He Karam Unka Sadaa (Naat Lyrics)
  18. Kaabe Ke Dar Ke Saamne Maangi Hai Dua Faqat  Naat Lyrics
  19. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
  20. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 

Leave a comment