Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics

Mahe Rabi Ul Awwal Aaya Naat Lyrics

Mahe Rabi Ul Awwal Aaya

Rabb Ki Rehmat Sath Me Laya

Peer Ka Din Tareekh He Barah

Farsh Pe Chamka Arsh Ka Tara

Aj Ki Rat Barat Rachi He

Amena Ke Ghar Dhoom Machi He

Ghar Me Hoore Darr Pe Malak He

Jinke Qatare Ta-b-Falak He

Thandi Hawa Ka Jhonka Aya

Shour Macha Ik Salle Ala Ka

Lo Ab Uthi Gard E Savari

Paide Hue Mehboob E Bari

Rehmat E Alam Noor E Mujassam

Sallallahu Alaihe Wasallam

Tum Bhi Utho Ab Waqt E Adab He

Zikre Wiladat Shahe Arab He

Takht He Unka Taj He Unka

Dono Jahan Pe Raj He Unka

Jinno Malak He Unke Sipahi

Rab Ki Khudai Me Inshahi

Unche Unche Yaha Jhukte He

Sare Unhi Ka Muh Takte He

Shaho Gada He Unke Sawali

Fakhr He Sabko Inki Ghulami

Kabe Ki Zeenat Inhi Ke Dam Se

Taibah Ki Rounak Inke Qadam Se

Kaba Ki Kya Sare Jaha(n) Me

Dhoom Machi He Kono Maka(n) Me

Mahe Rabi Ul Awwal Aaya Naat Lyrics

Amena Bi Ko La’al Mubarak

Dayi Haleema Ko Bal Mubarak

Tumko Khaleelullah Mubarak

Tumko Zabeehullah Mubarak

Dan Karo Kuch Jashn He Bhari

Darr Pe Khade He Sare Bhikari

Dar Pe He Hazir Apne Paraye

Apke Dam Se As Lagaye

Chashme Karam Lillah Idhar Ho

Salike Khasta Par Bhi Nazar Ho


Related Content

  1. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  2. Sacchi Baat Sikhate Yeh Hai  Naat Lyrics
  3. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
  4. Balaghal Ula Bi Kamalihi
  5. AAJ DULHA BANA SHAHE AHMAD RAZA
  6. Chamak Tujh Say Paatay Hain
  7. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib   Naat Lyrics
  8. Ham Faqeeron Ko Madeene
  9. Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani
  10. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  11. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  12. Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Naat Lyrics
  13. Meeran Waliyon Ke Imam De Do Panjtan Ke Naam (Manqabat)  Naat Lyrics
  14. Wo Kaisa Sama Hoga Wo Kaisi Gharri Hogi (Naat Lyrics)
  15. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  16. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  17. Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan  Naat Lyrics
  18. Koi Kaise Samajh Paayega Rutba Sabz Gumbad Ka  Naat Lyrics
  19. Eidon Ki Hai Eid Aayi
  20. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon

Leave a comment