Eidon Ki Hai Eid Aayi

Rahmat Khuda ki chayi Eido ki Eid aayi

Pahli bahar aaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Milad ki shab aayi Eido ki Eid aayi

Masroor he Khudai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Teri jhalak ke kurban teri chamak pe kurban

Aaye shamme Mustafai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Har samt he ujala aaya wo Noor wala

Raushan hui Khudai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Guncho me phool mahke shaakho pe murg chahke

Bulbul bhi cheh chahaaye Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Mahe Rabiul awwal teri barwi he afzal

Shakle nigar laai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sarkar ka wo aana wo buto ka sar jhukana

Kabze me kul Khudayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Larza tha kasre kisra Kaba bhi jhuk gaya tha

Muzda diya sunayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Hum to bhatak chuke the jurmo se thak chuke the

Hume rahe Haq dikhayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sarkar phir bulalo Gumbad hume dikhado

Tadpaati he judayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sab jehel ko mitaya Haq ka alam uthaaya

Farmaaee rehnumaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aamad pe keu na jhumey raaho ko unki chumey

Shah ki sawari aaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Najjaar khush the sare aaye Nabi humare

Bachcho ne daf bajaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Unpar Durood padhkar unpar Salam padhkar

Kahti he ye Khudayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aamad ki Dhoom daalo ghar koocha sab sajalo

Takdeer jagmagaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Girte huwo ko muzda unka wo pehla sajda

Ummat hai bakhshwaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aye mufliso gadaao aao sada lagaao

Sab ne muraad paaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Tu ne naseeb uncha paaya hai aye haleema

Tu he Nabi ki di Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

shaitaan jal rahe hai Aashiq machal rahe hai

Hum ne khushi manaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Hui sard nare Iran hua kufr saara haira

Shamme ahad jalaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Milaad ki ye shab hai hum sab pe fazle Rab hai

Mehfil jo hai sajaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Phir aayi Eid dedo eidee me deed dedo

Bas lau yahi lagaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sayyed Milega sadqa Meelad e Mustafa ka

Kar zikr e Mustafaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah


Related Content

  1. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  2. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  3. Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics
  4. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  5. Sunehri Jalion Ko Nazar Aane
  6. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya
  7. Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar  Naat Lyrics
  8. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  9. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  10. Taybah Ki Hai Yaad Aayee Ab Ashk Bahaanay Do
  11. Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki  Naat Lyrics
  12. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  13. Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye  Naat Lyrics
  14. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  15. Sarwar Kahoo Ke Maliko Maula Kahu Tujhe  Naat Lyrics
  16. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  17. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  18. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
  19. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  20. Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics

Leave a comment