Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Madina Madina hamara Madina

Hame Jano dil se He oiyara Madina

Sohana sohana dil ara Madina

Har ashiq ki ankhon ka tara Madina

Sabhi Asiqe Mustafa kah rahe hein

Hamein to He Janat se piyara Madina

Ye rangeen fazaein ye mahki hawaein

Mo’atar mo’anber He sara Madina

Madine kay Jalwoon kay qurban jaon

He Qudrat ne kaisa sanwara Madina

Paharoon mein bhe husn kantein bhe dilqash

Baharoon ne kaisa nikhara Madina

Wahan Piyara Kaba yahan Sabz Gumbad

Wo Makkah bhe meetha to Piyara Madina

Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Bulalejeye ab to Qadmoon mein Aqa

Dikha dejeye ab to piyara Madina

Phiroon gird Kaba piyoon Abe Zam Zam

Mein phir a kay dekhoon Tumhara Madina

Masaib howe dour sare jahan kay

Giya jab koi gham ka mara Madina

He shaho gada muflis-o-aghniya ka

Bila raib sab ka guzara Madina

Ye diwane Aqa ! Madine ko aein

Bolalo inhein ab Khudara Madina

Khuda gar qiyamat mein Farmae Mangoo!

Ligaein gay diwane Nara “Madina”

Madine mein Aqa hamein mout ae

Bane kash! madfan hamara Madina

Use sair-e-gulshan say kya ho ta’aluq!

Kiya jis ne Tera Nazara Madina

ZIYA(Rehmatullah Alaih) Peer-o-Murshid k Sadke mein Aqa

Ye ATTAR ae dobara Madina


Related Content

  1. parho woh matlaye noori sanaye mahre Anwar ka Lyrics
  2. Khak Muj Me Kamal Rakhkha Hai  Naat Lyrics
  3. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho
  4. Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte  Naat Lyrics
  5. Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastagheer   Naat Lyrics
  6. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge
  7. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  8. Nabi Ka Jashn Aaya  Naat Lyrics
  9. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  10. Dile Dard Mand Ki Dastan Na Kahu Ju Tum Se To Kiya Karu  Naat Lyrics
  11. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  12. Mustafa Aap Ke Jesa Koi Aaya Hi Nahi  Naat Lyrics
  13. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  14. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  15. Habib-e-Khuda Ka Nazaara Karoon Mein   Naat Lyrics
  16. Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
  17. Main Aasi Hoon Magar Tu Hai Gaffar Ya Allah  Naat Lyrics
  18. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  19. Al Nabi Sallu Alai
  20. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar

Leave a comment