Aalam e Islam Ko Eid e Meelad un Nabi

Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Ho Mubarak Ahl-E-Imaan Hogayei Qismat Darakhshaan
Chaar Jaanib Dhoom Hai Sarkar Ki Milaad Ki
Jhoomta Hai Har Musalmaan Eid-E-Milaad Un Nabi
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Ghunchay Chutkay Phool Mehke Har Taraf Aayei Bahaar
Hogayei Subh-E-Baharaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Hum Na Kyun Roshan Karein Ghar Ghar Diye Milaad Ke
Khud Karay Jab Haq Charaghaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Eid-E-Milaad-Un-Nabi Tou Eid Ki Bhi Eid Hai
Bil Yaqeen Hai Eid-E-Eidaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Eid-E-Milaad-Un-Nabi Pe Jou Bhi Karta Hai Khushi
Uss Pe Ghurraata Hai Shaytaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Amina Ke Ghar Mohammad Ki Wiladat Hogayei
Khoob Jhoomo Ahl-E-Emaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Aao Deewano Chalo Sab Aamina Ke Ghar Chalein
Noor Se Bhar Laayein Damaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

AALAM E ISLAM KO EID-E-MEELAD-UN-NABI NAAT LYRICS
Khoob Jhoomo Ae Gunaahgaron Tumhari Eid Hai
Hogaya Bakhshish Ka Samaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Gham Ke Maaron Bay-Saharo Buss Tumhari Eid Hai
Hogaya Rahat Ka Samaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba
Ya Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم


Related Content

  1. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar  Naat Lyrics
  2. Mustafa Khairul Wara Ho  Naat Lyrics
  3. Na Dolat De Na Shohrat De  Naat Lyrics
  4. Aadha Idhar Aadha Udhar
  5. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  6. Rab Mehfilan Sajayan
  7. Do jag de wich hoye ujaale,
  8. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  9. Aaqa Ke Ghulamon Ko Ab Eid Manane Do   Naat Lyrics
  10. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  11. Milad Ka Mausam Aaya Hai  Naat Lyrics
  12. Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
  13. Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho  Naat Lyrics
  14. Baarwein Ka Chaand Aaya Naat Lyrics
  15. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  16. Mashgala Aisa Batao Ke Zara  Naat Lyrics
  17. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  18. Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics
  19. Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki  Naat Lyrics
  20. Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics

Leave a comment