Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai  Naat Lyrics

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai ,
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai.

Kal Pul Say Hamein Jis Nay Khud Par Lagana Hai,
Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai.

Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon,
Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai.

Izzat Say Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par,
Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Say Toh Jana Hai.

Yoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein,
Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai.

Soh Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat,
Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai.

Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pay Nigahein Hai,
Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai.

Yeh Keh Kay Dar E Haq Say Li Maut Mein Kuch Mohlat,
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai.

Aao Dar E Zahra Par Phalaye Hue Daman,
Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai.

Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisnay,
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai.

Har Waqt Woh Hain Meri Duniya E Tasawar Mein,
Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai.

Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni,
Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Nay Mana Hai.

Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar,
Jaisa Hai Naseer Aakhir, Sahil Toh Purana Hai.


Related Content

  1. Faraz E Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda  Naat Lyrics
  2. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  3. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)
  4. Kaliyaan Zulfaa Wala Dukhi Dillan Daa Sahaara  Naat Lyrics
  5. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  6. Kis Chiz Ki Kami Hai Maula Teri Gali Main  Naat Lyrics
  7. Huzoor Jante Hain   Naat Lyrics
  8. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  9. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  10. Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha   Naat Lyrics
  11. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Naat Lyrics
  12. Abr E Karam Gesoo E Muhammad
  13. Mein Mangta Haan Teray Ishq Da  Naat Lyrics
  14. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
  15. Hum Apni Hasrat E Dil Ko Mitane Aaye Hai  Naat Lyrics
  16. Nabi ki naat ki Mehfil Sajjaana ham Na chaurein Ge
  17. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  18. Qurban Tumpe Meri Jaan
  19. Mere Sarkar Sunte Hai  Naat Lyrics
  20. Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye  Naat Lyrics

Leave a comment