Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha   Naat Lyrics

Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam
Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasamTere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya
Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam

Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila
Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam

HAI KALAAM-E-ILAHI ME SHAMS-O-DUHA NAAT LYRICS

Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen
Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam

Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera
Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam

Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua
Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o ‘Ala ki qasam

HAI KALAAM-E-ILAHI ME SHAMS-O-DUHA NAAT LYRICS

Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija
Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri ‘Ata ki qasam

Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan
Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam


Related Content

  1. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  2. Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics
  3. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  4. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  5. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics
  6. Rok Leti Hai Aapki Nisbat  Naat Lyrics
  7. DIL KI MURAAD PAA?E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE
  8. MEHBOOB DA MELA AE
  9. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  10. Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki  Naat Lyrics
  11. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  12. Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics
  13. Amina Ka Laal Aaya Lyrics
  14. Rab Mehfilan Sajayan
  15. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga Naat Lyrics
  16. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  17. Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
  18. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  19. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  20. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI

Leave a comment