Rok Leti Hai Aapki Nisbat  Naat Lyrics

Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Humpe Chalte Hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Humpar,Aane Waale Azab Tallte Hain.Woh Hi Bharte Hain Jholiyan Sabki Woh Samajhte Hain Boliyan Sabki
Aao Bazar-E-Mustafa Ko Chaleingham Khushi Main Wahin Pe Dhalte HainApni Auqat Sirf Itni Hai Kuch Nahi Baat Sirf Itni Hai
Kal Bhi Tukron Pe Unke Palte They, Ab Bhi Tukron Pe Unke Palte Hain.Aur Ab Humain Kiya Koi Giray Ga, Har Sahara Gale Lagaye Ga
Humne Khud Ko Gira Diya Hai Wahan, Girne Wale Jahan Sambhalte Hain.Ghar Wohi Mushkbaar Hote Hain, Khuld Se Humkinaar Hote Hain
Zikr-E-Sarkar Ke Hawalon Se Jin Gharon Main Chirag Jalte Hain.

Zikr-E-Sarkar Ke Ujalon Ki, Benihayat Hain Rifa’atain Khalid
Yeh Ujale Kabhi Na Simtain Gay,Yeh Woh Suraj Nahi Jo Dhalte Hain.

Rok Leti Hai Aapki Nisbat,Teer Jitne Bhi Humpe Chalte Hain
Yeh Karam Hai Huzoor Ka Humpar,Aane Waale Azab Tallte Hain


Related Content

  1. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  2. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  3. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  4. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  5. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  6. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  7. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  8. Ya Rabb Mujhe Deewana Madina Ka Bana De (Naat Lyrics)
  9. Aao ahle shariat pardhaye tumhe
  10. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  11. Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do  Naat Lyrics
  12. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  13. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  14. TARON MEIN ROSHNI
  15. Noor ke motiyon ki larri ban gai
  16. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  17. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  18. Nabi Ki Naat Ki Mahefil Sajana Hum Na Chhorenge  Naat Lyrics
  19. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  20. ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI

Leave a comment