Meray Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai Naat Lyrics

MERAY KAMLI WALAY KI SHAAN HI NIRALI HAI NAAT LYRICS

Meray Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai
Do Jahaan Ke Dataa Hain Sara Jag Sawali Hai

Khuld Jis Ko Kehtey Hain Meri Dekhi Bhali Hai
Sabz Sabz Gunbad Hai Aur Sunehri Jaali Hai

Chaand Ki Tarah Un Ko Ham Kahain To Mujrim Hain
Choonkeh Un Ki Chowkat Peh Chaand Bhi Sawali Hai

Chaa’on Mehki Mehki Hai Dhoop Thandi Thandi Hai
Shehr E Mustafa Teri Baat Hii Niraali Hai

Woh Bilaal Habshi Hoon Yaa Owais Qarani Hoon
Un Peh Marney Waaloon Ki Har Adaa Niraali Hai

Har Taraf Madiine Main Bhirh Hai Faqiron Ki
Aik Denay Walaa Hai Sara Jag Sawaali Hai

Ham Gunahgaron Ko Rab Seh Bakhshwaa Lain Ge
Un Ke Rab Ne Kab An Kii Koi Baat Taali Hai

Qabr Ke Andhairey Ka Aey Sa’iid Keyaa Khatrah
Sham’a Mustafa Seh Main Ne Low Jo Lagaa Li Hai


Related Content

  1. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  2. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  3. Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh  Naat Lyrics
  4. Fariyad Gause Aazam  Naat Lyrics
  5. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics
  6. Jab Gumbad-E-Khazra Pe Wo Pehli Nazar Gayi
  7. Noor Wala Aaya Hai Noor Lekar Aaya Hai
  8. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai  Naat Lyrics
  9. Sirf Ek Baar  Naat Lyrics
  10. NABI KA JASHAN AAYA 
  11. Parho Durood Kay Molood Ki Ghari Aayi  Naat Lyrics
  12. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  13. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  14. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
  15. Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics
  16. Al Nabi Sallu Alai
  17. Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)
  18. Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu
  19. Ay Mustafa ke fool dilojaan ya hussain
  20. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He

Leave a comment