Zindagi Hay Nabi Ki Nabi Ke Liye Naat Lyrics

Zindagi Ye Nahin Hay Kisi Ke Liye
Zindagi Hay Nabi Ki, Nabi Ke Liye

Na-Samajh Martay Hain Zindagi Ke Liye
Jeena Marna Hay Sab Kuch Nabi Ke Liye

Chandni Chaar Din Hay Sabhi Ke Liye
Hay Sada Chaand Abdun Nabi Ke Liye”Anta Feehim” Ke Daaman Mein Munkir Bhi Hain
Hum Rahay Ishrat-E-Daaimi Ke Liye

Aeysh Kar Lo Yahan Munkiro Chaar Din
Mar Ke Tarso Ge Iss Zindagi K Liye

Daag E Ishq E Nabi Le Chalo Qabr Mein
Hay Charaag E Lahad Roshni Ke Liye

Naqsh E Paa E Sagaan E Nabi Dekhiye
Ye Pataa Hay Bohat Rahbari Ke Liye

Wo Bulaatay Hain, Koi Ye Awaz De
Dam Mein Jaa Pohnchun Mein Haaziri Ke Liye

Aey Naseem E Saba Unn Se Keh De Zara
Muztarib Hay Gadaa Haaziri Ke Liye

Jin Ke Dil Mein Hay Ishq E Nabi Ki Chamak
Wo Tarastay Nahin Chaandni Ke Liye

Jin Ke Dil Mein Hain Jalway Teray Ishq Ke
Wo Hain Najm E Zamaan Roshni Ke Liye

AKHTAR E Qadiri Khuld Mein Chal Diya
Khuld Waa Hay Har Ik Qaadiri Ke Liye


Related Content

  1. Dar e Nabi Par Ye Umar Bite Ho Mujhpe Lutf e Dawaam Aisa Naat Lyrics
  2. Milad Ka Mausam Aaya Hai  Naat Lyrics
  3. CHAL QALAM AB HAMD E RABB
  4. Dare Nabi Par Para Rahoon Ga Naat Lyrics
  5. Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics
  6. Aaj Muhammad aye moray ghar
  7. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  8. Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
  9. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gae Ghum Beshumar Naat Lyrics
  10. Mustafa Khairul Wara Ho  Naat Lyrics
  11. Mujdawa Hai Asiyo Shaf-e-Shah-e-Abrar Hai (Naat Lyrics)
  12. Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
  13. Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
  14. Meri Jholi Main Rehte Hain Sada Tukre Muhammad Ke  Naat Lyrics
  15. Jidhar Dekhu Madine Ka Haram Ho  Naat Lyrics
  16. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem
  17. Furqate Taiba Kee Wehshat Dil Se Jaaye Khair Se  Naat Lyrics
  18. Aagae Mustafa Ki Sawaari
  19. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  20. Jahan Bani Ata Karde  Naat Lyrics

Leave a comment