La Mau-Jooda Illallah La Mash-huda Illallah  Naat Lyrics

Laa Maujooda IL-Lal-Laah, Laa Mashuda IL-Lal-Laah

Laa Maqsooda IL-Lal-Laah, Laa Mabooda IL-Lal-Laah

Hai Maujood E Haqeeqi WOH, Hai Mash-hud E Haqeeqi WOH

Hai Maqsood E Haqeeqi WOH, Ma’bude Haq-o-Haqeeqi WOH

Rabbi Hasbi JalLaalLaah, Maa Fi Qalbi IL-Lal-Laah

Haq Haq Haq ALLAAH ALLAAH ALLAAH, Rab Rab Rab SubhaanALLAAH

Sota Peeta Khaat Nahi, Uska Rishta Naata Nahi

Uske Pita Aur Maata Nahi, Uske Jooru Jaata Nahi

Mai Hun Banda Woh MauLaa, Kaun Hai Apna Uske Siwa

Mai Hun Uska WOH Mera, Jisne Banaya Aur PaaLaa

Aankho Me WOH Hai Sarr Me WOH, Dil me Woh Hai Jigar Me WOH

sam’a Me WOH Hai Basar Me WOH, Tab’a Me WOH Hai Fikar Me WOH

Noor Me WOH Hai Nazar Me WOH, Shams Me WOH Hai Qamar Me WOH

Abr Me WOH Hai Guhar Me WOH, Koh Me WOH Hai Hajar Me WOH

Jalwe USKE Hai Har Jaa, Zaat Hai Uski Jaa Se Varaa

Qudrat Se WOH In me Hua, Zaat Me Hai WOH Sabse Juda

Apne Karam Se Rabbe Kareem, Humpe Kiya Ehsaan E Azeem

Bheja Hum Me Ba-Fazle Azeem, Bahre Karam Ka Durre Yateem

Apne Mazhar E Awwal Ko, Apne Habeeb E Ajmal Ko

Pehle Nabi E Afzal Ko, Pichle Mursale Akmal Ko

Aisi FazeeLaate Unko Di, Jinka Misl Imkaa Me Nahi

Roohe Rawane Khuld E Baree, Nakhle Jaha(n) Ke Asl Matee

Mouje Awwal Bahre Qidam, Mouje Aakhir Bahre Karam

Sabse AaLaa Aur Aazam, Sabse AuLaa Aur Akram

Jinko Banaya Apne Liye, Sabko Banaya Jin Ke Liye

Kab Unhe De Ke Unse Liye, Par SAb Chore Tere Liye

MauLaa Dil Ka Zang Chura, Qalb E Noori Paaye JhiLaa

Dil Ko Kar De Aayina, Jisme Chamke Ye Kalmah

LAA ILAAHA IL-LAL-LAAH MUHAMMADUR RASOOLAALLAAH

Share this:


Related Content

  1. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics
  2. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge  Naat Lyrics
  3. Mera Dil Tadap Raha Hai  Naat Lyrics
  4. Rab Mehfilan Sajayan
  5. Dardo Aalam Ke Mare
  6. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  7. Sar Bulandi Ki Rawayat Sir Katanay Say Chali  Naat Lyrics
  8. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  9. Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics
  10. Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara  Naat Lyrics
  11. Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
  12. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  13. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  14. Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai   Naat Lyrics
  15. Paigham Saba Layee Hai Yeh Gulzar E Nabi  Naat Lyrics
  16. Noori Mahfil Lyrics
  17. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  18. Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  19. Eh Sarware Duniya O Deen  Naat Lyrics
  20. Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya

Leave a comment